bimar ki raat
dard be-rahm hai
jallād hai dard
dard kuchh kahtā nahīñ
suntā nahīñ
dard bas hotā hai
dard kā maarā huā
rauñdā huā
jism to ab haar gayā
ruuh ziddī hai
laḌe jaatī hai
hāñptī
kāñptī
ghabrā.ī huī
dard ke zor se
tharrā.ī huī
jism se lipTī hai
kahtī hai
nahīñ chhoḌūñgī
maut
chaukhaT pe khaḌī hai kab se
sabr se dekh rahī hai us ko
aaj kī raat
na jaane kyā ho
dard be-rahm hai
jallad hai dard
dard kuchh kahta nahin
sunta nahin
dard bas hota hai
dard ka mara hua
raunda hua
jism to ab haar gaya
ruh ziddi hai
laDe jati hai
hanpti
kanpti
ghabrai hui
dard ke zor se
tharrai hui
jism se lipTi hai
kahti hai
nahin chhoDungi
maut
chaukhaT pe khaDi hai kab se
sabr se dekh rahi hai us ko
aaj ki raat
na jaane kya ho
- Book : Tarkash (Pg. 84)
- Author : Javed Akhtar
- Publication : Star Publications Pvt. Ltd (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.