bimari ki KHabar
Interesting Fact
The famous critic Muhammad Hasan Askari once asked the accomplished poets of his time to name one of their choice poems, then different poets mentioned the names of their representative poems. Hasan Askari compiled all these poems in book form which was published by Kitabistan Allahabad in 1932.
jab ḳhat meñ tum likh detī ho kuchh haal apnī bīmārī kā
maiñ baiTh ke tanhā.ī meñ jaane kyā kyā sochā kartā huuñ
kuchh andhe koḌhī dīvāne āñkhoñ meñ samāne lagte haiñ
kuchh qaht-zada bhūke pyāse jaañ ḳhāmoshī se de de kar
duniyā meñ muflis rahne kī tāzīreñ paane lagte haiñ
kaTte haiñ jin ke shām-o-sahar ik qābil-e-nafrat ḳhvārī se
jo marte haiñ āsānī se aur jiite haiñ dushvārī se
ḳhuuñ chuus liyā hai ġhairoñ ne bīmār bhī haiñ nādān bhī haiñ
jiine kī tamannā dil meñ hai aur jiine se bezār bhī haiñ
is dard kī maarī duniyā meñ aise insāñ kyuuñ baste haiñ
jo saarī umar zarūrat kī chīzoñ ke liye bhī taraste haiñ
go aise log bhī haiñ jin ko āsā.ish hī āsā.ish hai
vo sab hai muhayyā un ke liye jis chiiz kī un ko ḳhvāhish hai
jin ke liye sonā miTTī hai jin ke liye motī saste haiñ
lekin majbūr insānoñ ko kyuuñ haq nahīñ hāsil jiine kā
tūfān hī ke qabze meñ kyuuñ patvār hai un ke safīne kā
kab tak be-bas insāñ yūñhī taqdīr kā ronā ro.egā
kab tak be kuchh paa.e hue apnā hī sab kuchh kho.egā
kab tak andhī bheḌoñ kī tarah ye apnī raah na pā.egā
kab tak maut ke aage se pīchhe hī haTtā jā.egā
phir ḳhud hī dil bol uThtā hai ab vaqt badalne vaalā hai
zarre sūraj ban jā.eñge vo daur bhī aane vaalā hai
ummīd kī ik nannhī sī kiran māyūsī par chhā jaatī hai
aur us kī zau meñ ek na.ī duniyā baazū phailātī hai
suuī sī ragoñ meñ chubhtī hai āñkhoñ meñ aañsū aate haiñ
dil be-qābū ho jaatā hai jiine kī havas baḌh jaatī hai
jaañ vaqf-e-tapish ho jaatī hai aur azm-e-baġhāvat kartī hai
us vaqt ik sail irādoñ kī sīnoñ se ho ke guzartī hai
duniyā ko ḳhuld banāne kā jo dhyān sā dil meñ aatā hai
aisī ḳhabroñ ke sunñe se vo aur qavī ho jaatā hai
jab ḳhat meñ tum likh detī ho kuchh haal apnī bīmārī kā
maiñ baiTh ke tanhā.ī meñ jaane kyā kyā sochā kartā huuñ
ham jañg kareñge fitrat se fitrat par qaabū pā.eñge
aur fitrat par qaabū pā kar ik roz amar ban jā.eñge
jab KHat mein tum likh deti ho kuchh haal apni bimari ka
main baiTh ke tanhai mein jaane kya kya socha karta hun
kuchh andhe koDhi diwane aankhon mein samane lagte hain
kuchh qaht-zada bhuke pyase jaan KHamoshi se de de kar
duniya mein muflis rahne ki taziren pane lagte hain
kaTte hain jin ke sham-o-sahar ek qabil-e-nafrat KHwari se
jo marte hain aasani se aur jite hain dushwari se
KHun chus liya hai ghairon ne bimar bhi hain nadan bhi hain
jine ki tamanna dil mein hai aur jine se bezar bhi hain
is dard ki mari duniya mein aise insan kyun baste hain
jo sari umar zarurat ki chizon ke liye bhi taraste hain
go aise log bhi hain jin ko aasaish hi aasaish hai
wo sab hai muhayya un ke liye jis chiz ki un ko KHwahish hai
jin ke liye sona miTTi hai jin ke liye moti saste hain
lekin majbur insanon ko kyun haq nahin hasil jine ka
tufan hi ke qabze mein kyun patwar hai un ke safine ka
kab tak be-bas insan yunhi taqdir ka rona roega
kab tak be kuchh pae hue apna hi sab kuchh khoega
kab tak andhi bheDon ki tarah ye apni rah na paega
kab tak maut ke aage se pichhe hi haTta jaega
phir KHud hi dil bol uThta hai ab waqt badalne wala hai
zarre suraj ban jaenge wo daur bhi aane wala hai
ummid ki ek nannhi si kiran mayusi par chha jati hai
aur us ki zau mein ek nai duniya bazu phailati hai
sui si ragon mein chubhti hai aankhon mein aansu aate hain
dil be-qabu ho jata hai jine ki hawas baDh jati hai
jaan waqf-e-tapish ho jati hai aur azm-e-baghawat karti hai
us waqt ek sail iradon ki sinon se ho ke guzarti hai
duniya ko KHuld banane ka jo dhyan sa dil mein aata hai
aisi KHabron ke sunne se wo aur qawi ho jata hai
jab KHat mein tum likh deti ho kuchh haal apni bimari ka
main baiTh ke tanhai mein jaane kya kya socha karta hun
hum jang karenge fitrat se fitrat par qabu paenge
aur fitrat par qabu pa kar ek roz amar ban jaenge
- Book : meri behtareen nazam (Pg. 13)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.