biswin sadi ka insan
mujhe sameTo
maiñ reza reza bikhar rahā huuñ
na jaane maiñ baḌh rahā huuñ
yā apne hī ġhubār-e-safar meñ har pal utar rahā huuñ
na jaane maiñ jī rahā huuñ
yā apne hī tarāshe hue na.e rāstoñ kī tanhā.iyoñ meñ har lahza mar rahā huuñ
maiñ ek patthar sahī magar har savāl kā bāz-gasht ban kar javāb dūñgā
mujhe pukāro mujhe sadā do
maiñ ek sahrā sahī magar mujh pe ghir ke barso
mujhe mahakne kā valvala do
maiñ ik samundar sahī magar āftāb kī tarah mujh pe chamko
mujhe bulandī kī samt uḌne kā hausla do
mujhe na toḌo ki maiñ gul-e-tar sahī
magar os ke bajā.e lahū meñ tar huuñ
mujhe na maaro
maiñ zindagī ke jamāl aur gahmā-gahmiyoñ kā payāmbar huuñ
mujhe bachāo ki maiñ zamīñ huuñ
karoḌoñ karoḌoñ kī kā.enāt-e-basīt meñ sirf maiñ hī huuñ
jo ḳhudā kā ghar huuñ
mujhe sameTo
main reza reza bikhar raha hun
na jaane main baDh raha hun
ya apne hi ghubar-e-safar mein har pal utar raha hun
na jaane main ji raha hun
ya apne hi tarashe hue nae raston ki tanhaiyon mein har lahza mar raha hun
main ek patthar sahi magar har sawal ka baz-gasht ban kar jawab dunga
mujhe pukaro mujhe sada do
main ek sahra sahi magar mujh pe ghir ke barso
mujhe mahakne ka walwala do
main ek samundar sahi magar aaftab ki tarah mujh pe chamko
mujhe bulandi ki samt uDne ka hausla do
mujhe na toDo ki main gul-e-tar sahi
magar os ke bajae lahu mein tar hun
mujhe na maro
main zindagi ke jamal aur gahma-gahmiyon ka payambar hun
mujhe bachao ki main zamin hun
karoDon karoDon ki kaenat-e-basit mein sirf main hi hun
jo KHuda ka ghar hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.