bite din ka aKHbar
vaqt kā khel hai diloñ kā mel
zindagī ik zuhūr-e-hangāmī
jis tarah paḌh ke roz kā aḳhbār
Daal dete haiñ log raddī meñ
aadmī kā qayām-e-arzī bhī
hai usī tarah aarzī vaqtī
ruup Dhaltā hai dhuup Dhaltī hai
phir bhī ye kāmnā machaltī hai
vaqt ho kaash kāmnā kā shikār
āḳhir-e-kār intishār shi.ār
biite din kā ho koī bhī aḳhbār
waqt ka khel hai dilon ka mel
zindagi ek zuhur-e-hangami
jis tarah paDh ke roz ka aKHbar
Dal dete hain log raddi mein
aadmi ka qayam-e-arzi bhi
hai usi tarah aarzi waqti
rup Dhalta hai dhup Dhalti hai
phir bhi ye kaamna machalti hai
waqt ho kash kaamna ka shikar
aaKHir-e-kar intishaar shiar
bite din ka ho koi bhi aKHbar
- Book : Gyan Marg ky Nazme.n (Pg. 26)
- Author : KRISHN MOHAN
- Publication : National Acadami, Ansari Market, Daryaganj (1974)
- Edition : 1974
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.