bite hue din
kyā haal kaheñ us mausam kā
jab jins-e-javānī sastī thī
jis phuul ko chūmo khultā thā
jis shai ko dekho hañstī thī
jiinā sachchā jiinā thā
hastī ain hastī thī
afsāna jaadū afsūñ thā
ġhaflat nīndeñ mastī thī
un biite dinoñ kī baat hai ye
jab dil kī bastī bastī thī
ġhaflat nīndeñ hastī thī
āñkheñ kyā paimāne the
har roz javānī biktī thī
har shām-o-sahar bai.āne the
har ḳhaar meñ ik but-ḳhāna thā
har phuul meñ sau mai-ḳhāne the
kaalī kaalī zulfeñ thiiñ
gore gore shāne the
un biite dinoñ kī baat hai ye
jab dil kī bastī bastī thī
gore gore shāne the
halkī-phulkī bāñheñ thiiñ
har-gām pe ḳhalvat-ḳhāne the
har moḌ pe ishrat-gāheñ thiiñ
tuġhyān ḳhushī ke aañsū the
takmīl-e-tarab kī aaheñ thiiñ
ishve chuhleñ ġhamze the
paltīñ ḳhushiyāñ chāhīñ thiiñ
un biite dinoñ kī baat hai ye
jab dil kī bastī bastī thī
kya haal kahen us mausam ka
jab jins-e-jawani sasti thi
jis phul ko chumo khulta tha
jis shai ko dekho hansti thi
jina sachcha jina tha
hasti ain hasti thi
afsana jadu afsun tha
ghaflat ninden masti thi
un bite dinon ki baat hai ye
jab dil ki basti basti thi
ghaflat ninden hasti thi
aankhen kya paimane the
har roz jawani bikti thi
har sham-o-sahar baiane the
har KHar mein ek but-KHana tha
har phul mein sau mai-KHane the
kali kali zulfen thin
gore gore shane the
un bite dinon ki baat hai ye
jab dil ki basti basti thi
gore gore shane the
halki-phulki banhen thin
har-gam pe KHalwat-KHane the
har moD pe ishrat-gahen thin
tughyan KHushi ke aansu the
takmil-e-tarab ki aahen thin
ishwe chuhlen ghamze the
paltin KHushiyan chahin thin
un bite dinon ki baat hai ye
jab dil ki basti basti thi
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 16)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.