biwiyan
shādī ke ba.ad ghar meñ jab aatī haiñ bīviyāñ
sharm-o-hayā kā Dhoñg rachātī haiñ bīviyāñ
pahle to shauharoñ ko paTātī haiñ bīviyāñ
tigunī kā naach phir ye nachātī haiñ bīviyāñ
har shab shab-barāt banātī haiñ bīviyāñ
kuchh din ke ba.ad chhakke chhuḌātī haiñ bīviyāñ
pahle-pahal to kahtī haiñ tum ho mire balam
tum mil ga.e to ho ga.e duniyā ke duur ġham
tum par hazār jaan se qurbān maiñ sanam
kuchh din ke ba.ad kahtī haiñ shauhar ko phir ḳhasm
pahle to ḳhuub sar pe chaḌātī haiñ bīviyāñ
qadmoñ meñ is ke ba.ad girātī haiñ bīviyāñ
khā khā ke gosht weight na apnā baḌhā.iye
jo maiñ banā rahī huuñ vo chup-chāp khā.iye
is vaqt ghar meñ aa.iye us vaqt jā.iye
jaanā kahāñ hai jaane se pahle batā.iye
is tarah control meñ laatī haiñ bīviyāñ
hākim ko bhī ġhulām banātī haiñ bīviyāñ
vo santarī ho koī ki ho koī mantarī
hotā hai haavī sab pe hī ehsās-e-kamtarī
kaisā bhī sher-dil ho bahādur ho yā jarī
rahtī hai jin ke ḳhauf se duniyā Darī Darī
aise bahāduroñ ko dabātī haiñ bīviyāñ
phir uñgliyoñ pe un ko nachātī haiñ bīviyāñ
bachchoñ kī baat chhoḌiye begam kā hai ye haal
ġhusse meñ yuuñ samajhiye ki har shai pe hai zavāl
samjhā.e kaun aise meñ kis kī hai ye majāl
is shor-o-ġhul meñ shā.erī karnā bhī hai muhāl
qaiñchī-sifat zabān chalātī haiñ bīviyāñ
Tar-Tar se phir dimāġh dukhātī haiñ bīviyāñ
sasurāl meñ ho shādī to ḳharcha ho kam janāb
maike meñ hai to ḳharch ye kartī haiñ be-hisāb
vo saas yā sasur hoñ ki devar ho sab ḳharāb
aayā huā hai maike se kuttā bhī lā-javāb
kuchh is tarah dimāġh pe chhātī haiñ bīviyāñ
shauhar ke rishte-dār chhuḌātī haiñ bīviyāñ
shadi ke baad ghar mein jab aati hain biwiyan
sharm-o-haya ka Dhong rachati hain biwiyan
pahle to shauharon ko paTati hain biwiyan
tiguni ka nach phir ye nachati hain biwiyan
har shab shab-baraat banati hain biwiyan
kuchh din ke baad chhakke chhuDati hain biwiyan
pahle-pahal to kahti hain tum ho mere balam
tum mil gae to ho gae duniya ke dur gham
tum par hazar jaan se qurban main sanam
kuchh din ke baad kahti hain shauhar ko phir KHasm
pahle to KHub sar pe chaDati hain biwiyan
qadmon mein is ke baad giraati hain biwiyan
kha kha ke gosht weight na apna baDhaiye
jo main bana rahi hun wo chup-chap khaiye
is waqt ghar mein aaiye us waqt jaiye
jaana kahan hai jaane se pahle bataiye
is tarah control mein lati hain biwiyan
hakim ko bhi ghulam banati hain biwiyan
wo santari ho koi ki ho koi mantari
hota hai hawi sab pe hi ehsas-e-kamtari
kaisa bhi sher-dil ho bahadur ho ya jari
rahti hai jin ke KHauf se duniya Dari Dari
aise bahaduron ko dabaati hain biwiyan
phir ungliyon pe un ko nachati hain biwiyan
bachchon ki baat chhoDiye begam ka hai ye haal
ghusse mein yun samajhiye ki har shai pe hai zawal
samjhae kaun aise mein kis ki hai ye majal
is shor-o-ghul mein shaeri karna bhi hai muhaal
qainchi-sifat zaban chalati hain biwiyan
Tar-Tar se phir dimagh dukhati hain biwiyan
sasural mein ho shadi to KHarcha ho kam janab
maike mein hai to KHarch ye karti hain be-hisab
wo sas ya sasur hon ki dewar ho sab KHarab
aaya hua hai maike se kutta bhi la-jawab
kuchh is tarah dimagh pe chhati hain biwiyan
shauhar ke rishte-dar chhuDati hain biwiyan
- Book : Post Martum (Pg. 54)
- Author : Nashtar Amrohvi
- Publication : M.R. Publications (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.