bil-aKHir
aur jab vo chalī
log bole ki jhallī hai pāgal hai mental hai ye
aur us ne sunā to hañsī
uñgliyoñ se vo dīvār par
do lakīreñ banātī chalī hī ga.iiñ
lakīreñ jo dīvār par chand lafzoñ ke
mauhūm se fāsle se
ikaTThī chalī jā rahī thiiñ
damā-dam ravāñ be ruke aage
aage hī aage
na milne kī ḳhātir
ki milnā hai to harf-e-āḳhir nahīñ
aur jab wo chali
log bole ki jhalli hai pagal hai meintal hai ye
aur us ne suna to hansi
ungliyon se wo diwar par
do lakiren banati chali hi gain
lakiren jo diwar par chand lafzon ke
mauhum se fasle se
ikaTThi chali ja rahi thin
dama-dam rawan be ruke aage
aage hi aage
na milne ki KHatir
ki milna hai to harf-e-aKHir nahin
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 610)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2013-14)
- Edition : 2013-14
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.