billi
aa jā merī pyārī puusī
dum ko hilātī ḳhar ḳhar kartī
chūhe chiḌiyoñ ko mat khaao
dekho in ko tum na satāo
aao tumheñ kuchh dete haiñ ham
mīThā mīThā duudh piyo tum
tere gale meñ chhan-chhan karte
ghuñgrū maiñ pahnā.ūñgā lā ke
mere bichhaune par ab aa tū
paas mire ab yaañ so jā tū
rakh le sar takiye par mere
so jā ab tū ḳhar ḳhar kar ke
kartī hai kyoñ myā.un myā.un
aa jā kahānī tujh ko sunā.ūñ
sun le tū merī billū maanī
chuhiyā aur chiḌiyā kī kahānī
aa ja meri pyari pusi
dum ko hilati KHar KHar karti
chuhe chiDiyon ko mat khao
dekho in ko tum na satao
aao tumhein kuchh dete hain hum
miTha miTha dudh piyo tum
tere gale mein chhan-chhan karte
ghungru main pahnaunga la ke
mere bichhaune par ab aa tu
pas mere ab yan so ja tu
rakh le sar takiye par mere
so ja ab tu KHar KHar kar ke
karti hai kyon myaun myaun
aa ja kahani tujh ko sunaun
sun le tu meri billu mani
chuhiya aur chiDiya ki kahani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.