billi
ye sach hai ki peT apnā bhartī hai billī
kitchen kī safā.ī to kartī hai billī
nahīñ hone detī hai hargiz vo khaḌ-khaḌ
ki khiḌkī se jis dam utartī hai billī
jahāñ par ki do chaar kutte hoñ maujūd
to aisī jagah kab Thahartī hai billī
kareñ taaki tadfīn K-M-C vaale
jabhī biich raste meñ martī hai billī
baḌī nasl kā jab nazar aa.e chuhā
to bach kar vahāñ se guzartī hai billī
miyā.ūñ miyā.ūñ miyā.ūñ miyā.ūñ
ijāzat talab aaise kartī hai billī
bilā-vaj.h billī se Darte haiñ bachche
haqīqat meñ bachchoñ se Dartī hai billī
ye sach hai ki peT apna bharti hai billi
kitchen ki safai to karti hai billi
nahin hone deti hai hargiz wo khaD-khaD
ki khiDki se jis dam utarti hai billi
jahan par ki do chaar kutte hon maujud
to aisi jagah kab Thaharti hai billi
karen taki tadfin K-M-C wale
jabhi bich raste mein marti hai billi
baDi nasl ka jab nazar aae chuha
to bach kar wahan se guzarti hai billi
miyaun miyaun miyaun miyaun
ijazat talab aaise karti hai billi
bila-wajh billi se Darte hain bachche
haqiqat mein bachchon se Darti hai billi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.