bint-e-hawwa
Interesting Fact
(A Nazm composed against the backdrop of voilence against women)
lauT kar jab na ghar ga.ī hogī
ik qayāmat guzar ga.ī hogī
raat pur-haul bheḌiyoñ kā ġhol
vo akelī thī Dar ga.ī hogī
koī aadam na koī ādam-zād
duur tak jab nazar ga.ī hogī
ġhair kā haath jab baḌhā hogā
jīte-jī vo to mar ga.ī hogī
apne tan ko jalā ke ġhairat se
zaḳhm sab dil ke bhar ga.ī hogī
bint-e-havvā jo māñgtī hai kafan
sar se chādar utar ga.ī hogī
ai ḳhudā un sulagte hoñToñ kī
kyā duā be-asar ga.ī hogī
lauT kar jab na ghar gai hogi
ek qayamat guzar gai hogi
raat pur-haul bheDiyon ka ghol
wo akeli thi Dar gai hogi
koi aadam na koi aadam-zad
dur tak jab nazar gai hogi
ghair ka hath jab baDha hoga
jite-ji wo to mar gai hogi
apne tan ko jala ke ghairat se
zaKHm sab dil ke bhar gai hogi
bint-e-hawwa jo mangti hai kafan
sar se chadar utar gai hogi
ai KHuda un sulagte honTon ki
kya dua be-asar gai hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.