bint-e-lamhat
tumhāre lahje meñ jo garmī o halāvat hai
use bhalā sā koī naam do vafā kī jagah
ġhanīm-e-nūr kā hamla kaho añdheroñ par
dayār-e-dard meñ aamad kaho masīhā kī
ravāñ-davāñ hue ḳhushbū ke qāfile har-sū
ḳhalā-e-sub.h meñ gūñjī sahar kī shahnā.ī
ye ek kohrā saa, ye dhund sī jo chhā.ī hai
is iltihāb meñ, is surmagīñ ujāle meñ
sivā tumhāre mujhe kuchh nazar nahīñ aatā
hayāt naam hai yādoñ kaa, talḳh aur shīrīñ
bhalā kisī ne kabhī rañg o bū ko pakḌā hai
shafaq ko qaid meñ rakkhā sabā ko band kiyā
har ek lamha gurezāñ hai, jaise dushman hai
na tum milogī na maiñ, ham bhī donoñ lamhe haiñ
vo lamhe jā ke jo vāpas kabhī nahīñ aate!
tumhaare lahje mein jo garmi o halawat hai
use bhala sa koi nam do wafa ki jagah
ghanim-e-nur ka hamla kaho andheron par
dayar-e-dard mein aamad kaho masiha ki
rawan-dawan hue KHushbu ke qafile har-su
KHala-e-subh mein gunji sahar ki shahnai
ye ek kohra sa, ye dhund si jo chhai hai
is iltihab mein, is surmagin ujale mein
siwa tumhaare mujhe kuchh nazar nahin aata
hayat nam hai yaadon ka, talKH aur shirin
bhala kisi ne kabhi rang o bu ko pakDa hai
shafaq ko qaid mein rakkha saba ko band kiya
har ek lamha gurezan hai, jaise dushman hai
na tum milogi na main, hum bhi donon lamhe hain
wo lamhe ja ke jo wapas kabhi nahin aate!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.