bint-e-mahtab
siyāh zulf ki barsāt kī ho jaise ghaTā
mizāj-e-sub.h-e-daraḳhshāñ tirī jabīñ kī ziyā
hasīn gāloñ pe bikhrā huā vo rang-e-hayā
namī vo hoñToñ kī jis meñ nabāt-o-asl ghulā
na kyuuñ bhalā maiñ tujhe bint-e-māhtāb kahūñ
jo aañkh nargis-e-shahlā kī aabrū le le
palak na jis pe kabhī ashk-e-muztarib khele
chhue jo chāñd ko to haath hoñ tire maile
har ek ang hasīñ kis kā zikr ho pahle
tujhe maiñ jān-e-jahāñ rashk-e-āftāb kahūñ
vo jazr-o-mad tire siine kā aur vo jazbāt
haiñ mere vāste vahshat-ḳharosh ye lamhāt
tirī zabān kī jumbish meñ saiñkaḌoñ naġhmāt
vo dil-pasand ḳhasā.il vo dil-nashīñ ādāt
na kyuuñ bhalā maiñ tujhe hāsil-e-shabāb kahūñ
yahī kahūñ ki milī tujh ko husn kī me.arāj
ḳhushā nasīb jo kahlā.e dil-bar-e-‘sartāj’
tirī jabīñ kā araq rashk-e-nīlam-o-pukhrāj
tire jamāl ne gulshan se le liyā hai ḳhirāj
tire vajūd ko maiñ vaj.h-e-inqalāb kahūñ
siyah zulf ki barsat ki ho jaise ghaTa
mizaj-e-subh-e-daraKHshan teri jabin ki ziya
hasin galon pe bikhra hua wo rang-e-haya
nami wo honTon ki jis mein nabaat-o-asl ghula
na kyun bhala main tujhe bint-e-mahtab kahun
jo aankh nargis-e-shahla ki aabru le le
palak na jis pe kabhi ashk-e-muztarib khele
chhue jo chand ko to hath hon tere maile
har ek ang hasin kis ka zikr ho pahle
tujhe main jaan-e-jahan rashk-e-aftab kahun
wo jazr-o-mad tere sine ka aur wo jazbaat
hain mere waste wahshat-KHarosh ye lamhat
teri zaban ki jumbish mein sainkaDon naghmat
wo dil-pasand KHasail wo dil-nashin aadat
na kyun bhala main tujhe hasil-e-shabab kahun
yahi kahun ki mili tujh ko husn ki mearaj
KHusha nasib jo kahlae dil-bar-e-‘sartaj’
teri jabin ka araq rashk-e-nilam-o-pukhraj
tere jamal ne gulshan se le liya hai KHiraj
tere wajud ko main wajh-e-inqalab kahun
- Book : SAAZ-O-NAVA (Pg. 160)
- Publication : Raghu Nath suhai ummid
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.