bisat-e-raqs
mujhe likhnā thā sarshārī
mujhe likhnā thā dildārī
mujhe likhnā thā apnā half-nāma
aur bayān-e-istiġhāsa
bādshāh-e-vaqt ke maġhrūr aivān-e-adālat meñ
umaDtī ḳhalq kī maujūdgī meñ
vārdāt-e-qatl-e-ḳhūbāñ ke haqā.eq
aur bayān-e-ḳhalq-e-barham
maiñ qāsid thā
ġhulāmoñ kā farastāda
mire hone meñ muzmar thī ḳharābī
jumla imkānāt-e-mohlik
ik bharī bandūq
maiñ shā.ir thā
mujhe elaan karnā thā
mire elaan par honī thī saf-bandī
hisāb-e-ḳhūñ-bahā
bebāk honā thā
rabāb-e-zindagī par
aarzū kā alamiya gaanā
alal-ailān
chaurāhoñ pe
be-ḳhud honā
gaanā
raqs karnā
aur mar jaanā
mirā mansab muqarrar thā
mujhe likhna tha sarshaari
mujhe likhna tha dildari
mujhe likhna tha apna half-nama
aur bayan-e-istighasa
baadshah-e-waqt ke maghrur aiwan-e-adalat mein
umaDti KHalq ki maujudgi mein
wardat-e-qatl-e-KHuban ke haqaeq
aur bayan-e-KHalq-e-barham
main qasid tha
ghulamon ka farastada
mere hone mein muzmar thi KHarabi
jumla imkanat-e-mohlik
ek bhari banduq
main shair tha
mujhe elan karna tha
mere elan par honi thi saf-bandi
hisab-e-KHun-baha
bebak hona tha
rabab-e-zindagi par
aarzu ka alamiya gana
alal-ailan
chaurahon pe
be-KHud hona
gana
raqs karna
aur mar jaana
mera mansab muqarrar tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.