bisleri
aadhā hindū huuñ sharāb piitā huuñ
aadhā musalmān
ki suar nahīñ khātā
miyāñ ġhālib farmāte the
'ḳhayāl' sāhab aap bhī
hote hote ho ga.e
shāyad
aadhe farañgī
haridvār kī chauk par
harī halvā.ī kī dūkān meñ
desī ghī kī puurī sabzī khāte the
magar piine ke liye
bisleri hī mangvāte the
aadha hindu hun sharab pita hun
aadha musalman
ki suar nahin khata
miyan ghaalib farmate the
'KHayal' sahab aap bhi
hote hote ho gae
shayad
aadhe farangi
haridwar ki chauk par
hari halwai ki dukan mein
desi ghi ki puri sabzi khate the
magar pine ke liye
bisleri hi mangwate the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.