bistar aur bawarchi
hazār sadiyoñ ke safar ke bāvajūd
bint-e-havvā kā ye safar to
azal se ab tak
tumhārī ḳhvāb-gāh aur
dālān ke darmiyān
qaid kar diyā gayā hai
na jaane kitne qadam haiñ
jo tumhāre bistar meñ
hunūt ho kar paḌe hue haiñ
kitnī manzileñ haiñ
jo tumhāre bistar par
bāvarchī-ḳhāne ke darmiyān dafn ho chukī haiñ
hazar sadiyon ke safar ke bawajud
bint-e-hawwa ka ye safar to
azal se ab tak
tumhaari KHwab-gah aur
dalan ke darmiyan
qaid kar diya gaya hai
na jaane kitne qadam hain
jo tumhaare bistar mein
hunut ho kar paDe hue hain
kitni manzilen hain
jo tumhaare bistar par
bawarchi-KHane ke darmiyan dafn ho chuki hain
- Book : Vaqt ki qiad se (Pg. 33)
- Author : Sarvat Zohra
- Publication : Urdu Art International, Urdu bazar Karachi (2013)
- Edition : 2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.