biyog
man meñ umañgeñ jī meñ tarañgeñ
ruup anuup javānī
duniyā ek kahānī
man kī mainā chahkī
merī duniyā mahkī
jhuum jhuum kar ghuum rahī thī mere man meñ aayā
phuul kī shobhā hai kis kāran
kaisī hai bū-bās
jab nahīñ bhauñrā paas
miTīñ umañgeñ
bujhīñ tarañgeñ
man se uTThī huuk
dab kar rah ga.ī kuuk
biit gayā din
shaam huī
phir chhā ga.ī kaalī raat
añdhiyārī
añdhkārī
añdhiyārī añdhkārī jis se jīvan khaa.e maat
mere man meñ phir se phūlī aashā kī phulvārī
jug jug ye añdhiyārī
jis ne tāroñ kī jhilmil se pahuñchāyā sandes
in nainoñ ko dekh rahe haiñ pī baiThe pardes
man mein umangen ji mein tarangen
rup anup jawani
duniya ek kahani
man ki maina chahki
meri duniya mahki
jhum jhum kar ghum rahi thi mere man mein aaya
phul ki shobha hai kis karan
kaisi hai bu-bas
jab nahin bhaunra pas
miTin umangen
bujhin tarangen
man se uTThi huk
dab kar rah gai kuk
bit gaya din
sham hui
phir chha gai kali raat
andhiyari
andhkari
andhiyari andhkari jis se jiwan khae mat
mere man mein phir se phuli aasha ki phulwari
jug jug ye andhiyari
jis ne taron ki jhilmil se pahunchaya sandes
in nainon ko dekh rahe hain pi baiThe pardes
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.