blood cancer
ye un zamānoñ kī dāstāñ hai
ki jab ḳhirad ke kasīf panjoñ ne mere sumbul paroñ meñ nāḳhun nahīñ khubo.e the
un zamānoñ meñ sapne sāñpoñ ke bil nahīñ the
anant naagā kī jhaḌtī chamḌī sañpoliyoñ kā ḳhudā nahīñ thī
gagan kā kesar giddhoñ kā luqma nahīñ banā thā
hamāre sūrat-garoñ ne ulTe amiiq ġhāroñ ko siidh dete
palīd chamgādaḌoñ kā chehra nahīñ takā thā
agarche cancer ke zard kiiḌe rajaz kī lai par thirak rahe the
maiñ apne dil kī lagām thāme
kulāh ḳhud meñ se jhāñktā thā
so merī nabzoñ ke hinhināne se zard kīḌoñ meñ ḳhauf qaa.em thā
par achānak
safed coatoñ meñ band sirinjoñ ne merī dhaḌkan pe kaan rakhe
yuuñ nesh dāñtoñ se mere kūlhe kī haDDiyoñ meñ naqab lagā.ī
ki shaah poras ke mast hāthī ne us kī faujoñ ko rauñd Daalā
safed ḳhaliyoñ ke shahsavāroñ ne shahbā duldul kī pairvī meñ
sipar uThā.ī
niyām se teġh ko nikālā
to zard kīḌoñ ne apne nezoñ pe ḳhūnī safhe uThā liye the
maiñ mar rahā huuñ sisak rahā huuñ
ye merā bistar
jahāñ meñ be-sudh paḌā huā huuñ
mirī chitā hai
so mere hāthoñ meñ mere bāloñ ke jalte guchchhe haiñ
mere Dhāñche ke raqs-e-āḳhir ko dekhne
ye siyāh kapḌoñ meñ kaun buḌhiyā haiñ
kyā baḌbaḌā rahī haiñ
inheñ uThāo
khajūr kī guThliyāñ haTāo
ye ḳhūnī thaile meñ kis kā ḳhuuñ hai
lahū ke qatroñ kā vird roko
ye vird āñtoñ ko kaaT khāte haiñ
aur masānoñ ko chaab jaate haiñ
ye raqs-e-āḳhir āḳhirī nahīñ hai
maiñ ik javālā-mukhī kā qissa huuñ
maiñ infijār-e-azīm kī tāqatoñ meñ zarra huuñ
maiñ milky way kī safed rāhoñ meñ zard sūraj ke āshiyāne meñ rahne vaalā
go jal rahā huuñ jalā nahīñ huuñ
maiñ mar rahā huuñ marā nahīñ huuñ
ye un zamanon ki dastan hai
ki jab KHirad ke kasif panjon ne mere sumbul paron mein naKHun nahin khuboe the
un zamanon mein sapne sanpon ke bil nahin the
anant naga ki jhaDti chamDi sanpoliyon ka KHuda nahin thi
gagan ka kesar giddhon ka luqma nahin bana tha
hamare surat-garon ne ulTe amiq ghaaron ko sidh dete
palid chamgadaDon ka chehra nahin taka tha
agarche cancer ke zard kiDe rajaz ki lai par thirak rahe the
main apne dil ki lagam thame
kulah KHud mein se jhankta tha
so meri nabzon ke hinhinane se zard kiDon mein KHauf qaem tha
par achanak
safed coaton mein band sirinjon ne meri dhaDkan pe kan rakhe
yun nesh danton se mere kulhe ki haDDiyon mein naqab lagai
ki shah poras ke mast hathi ne us ki faujon ko raund Dala
safed KHaliyon ke shahsawaron ne shahba duldul ki pairwi mein
sipar uThai
niyam se tegh ko nikala
to zard kiDon ne apne nezon pe KHuni safhe uTha liye the
main mar raha hun sisak raha hun
ye mera bistar
jahan mein be-sudh paDa hua hun
meri chita hai
so mere hathon mein mere baalon ke jalte guchchhe hain
mere Dhanche ke raqs-e-aKHir ko dekhne
ye siyah kapDon mein kaun buDhiya hain
kya baDbaDa rahi hain
inhen uThao
khajur ki guThliyan haTao
ye KHuni thaile mein kis ka KHun hai
lahu ke qatron ka wird roko
ye wird aanton ko kaT khate hain
aur masanon ko chab jate hain
ye raqs-e-aKHir aaKHiri nahin hai
main ek jawala-mukhi ka qissa hun
main infijar-e-azim ki taqaton mein zarra hun
main milky way ki safed rahon mein zard suraj ke aashiyane mein rahne wala
go jal raha hun jala nahin hun
main mar raha hun mara nahin hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.