bohran
judā.ī aur kyā hai maiñ jise sahtā nahīñ rahtā
ye tum se roz kā milnā
judā hone se pahle der tak
ik baat se ik baat tak
lafzoñ kā luḌhkānā
na.e mausam kī bāteñ
ālimāna guftugūeñ un manāzir kī
siyāsat jin kā chehra kal dikhā.egī
mulāqāteñ haiñ aur aisī mulāqāteñ
ki bāham roz kā milnā na milnā
koī bhī arzish nahīñ rakhtā
ye kaisā vasl hai
jis meñ
hadeñ miTtī nahīñ
bātoñ se bātoñ kā milānā
maiñ se tū tak kā safar bhī ban nahīñ paatā
ye kaise rābte haiñ
kursiyoñ se kursiyāñ miltī haiñ
lekin darmiyānī fāsle miTte nahīñ
judai aur kya hai main jise sahta nahin rahta
ye tum se roz ka milna
juda hone se pahle der tak
ek baat se ek baat tak
lafzon ka luDhkana
nae mausam ki baaten
aalimana guftuguen un manazir ki
siyasat jin ka chehra kal dikhaegi
mulaqaten hain aur aisi mulaqaten
ki baham roz ka milna na milna
koi bhi arzish nahin rakhta
ye kaisa wasl hai
jis mein
haden miTti nahin
baaton se baaton ka milana
main se tu tak ka safar bhi ban nahin pata
ye kaise rabte hain
kursiyon se kursiyan milti hain
lekin darmiyani fasle miTte nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.