Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

achaar ka martaban

Fayyaz tahseen

achaar ka martaban

Fayyaz tahseen

MORE BYFayyaz tahseen

    tumhārī ammī ne apnī izzat ko martabānoñ meñ band kar ke

    makāñ chhat se laTakte chhīñke meñ rakh diyā thā

    tumhārī ammī ne bār-hā tum se ye kahā thā

    ''achār kachchā hai' tel miTī nahīñ hai

    abhī na ye martabān kholo

    havā agar bartanoñ meñ dāḳhil huī to ullī

    tamām phāñkoñ naas kar degī''

    tum magar soch meñ paḌī ho

    ''na jaane ammī ko kyā huā hai

    achār phāñk to hai

    na koī hīrā, na koī motī, na koī sone chiiz māñgī

    na koī kapḌā na koī lattā na koī sāḌī''

    tum apnī ma.asūm aur pyārī añkhḌiyoñ meñ

    hazār shikve liye yūñhī sochtī rahogī

    magar jo ek Dar tumhārī ammī aañkh meñ aa ke bas gayā hai

    use kahāñ tum samajh sakogī

    abhī to tum bachpane sarhad phalāñgne fikr meñ ho

    abhī to tum meñDhiyāñ banātī ho, choTiyāñ kas ke bāñdhtī ho

    kabhī kabhī tum saḌak pe kar jhagaḌte bachchoñ ko DāñTtī ho

    to tum ko chunnī hosh hotā hai

    aur na āñkhoñ meñ Dar kisī

    agar kabhī tum zabān zā.iqa badalne soch lo

    agar kabhī tum achār martabān nīche utaar lo

    nazar bachā kar achār bāhar nikāl lo

    to lamha bhar ke liye Thahar kar ye soch lenā

    tumhārī ammī ne apnī izzat ko martabānoñ meñ band kar ke

    makāñ chhat se laTakte chhīñke meñ rakh diyā thā

    tumhaari ammi ne apni izzat ko martabanon mein band kar ke

    makan ki chhat se laTakte chhinke mein rakh diya tha

    tumhaari ammi ne bar-ha tum se ye kaha tha

    achaar kachcha hai' tel ki bu miTi nahin hai

    abhi na ye martaban kholo

    hawa agar bartanon mein daKHil hui to ulli

    tamam phankon ka nas kar degi

    tum magar soch mein paDi ho

    na jaane ammi ko kya hua hai

    achaar ki phank hi to hai na

    na koi hira, na koi moti, na koi sone ki chiz mangi

    na koi kapDa na koi latta na koi saDi

    tum apni masum aur pyari si ankhDiyon mein

    hazar shikwe liye yunhi sochti rahogi

    magar jo ek Dar tumhaari ammi ki aankh mein aa ke bas gaya hai

    use kahan tum samajh sakogi

    abhi to tum bachpane ki sarhad phalangne hi ki fikr mein ho

    abhi to tum meinDhiyan banati ho, choTiyan kas ke bandhti ho

    kabhi kabhi tum saDak pe ja kar jhagaDte bachchon ko DanTti ho

    to tum ko chunni ka hosh hota hai

    aur na aankhon mein Dar kisi ka

    agar kabhi tum zaban ka zaiqa badalne ka soch hi lo

    agar kabhi tum achaar ka martaban niche utar hi lo

    nazar bacha kar achaar bahar nikal hi lo

    to lamha bhar ke liye Thahar kar ye soch lena

    tumhaari ammi ne apni izzat ko martabanon mein band kar ke

    makan ki chhat se laTakte chhinke mein rakh diya tha

    Source :
    • Book : Jalta Hai Badan (Pg. 106)
    • Author : Zahid Hasan
    • Publication : Apnaidara, Lahore (2002)
    • Edition : 2002

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now