Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

apne apne suraKHon ka Dar

Abbas Athar

apne apne suraKHon ka Dar

Abbas Athar

MORE BYAbbas Athar

    ''na.ī saḌkoñ ke naqshe'' kār-ḳhāne

    ūñche ūñche pul mire mansūbe dekho aur kitāboñ meñ paḌho''

    us ne kahaa... ''mere badan par haath bhī phero

    magar sūrāḳh se uñglī alag rakkho''

    magar us ke badan par har taraf sūrāḳh sūrāḳh haiñ

    uñglī alag rakkho!

    to kyā maiñ uñgliyoñ ko toḌ duuñ?

    maiñ uñgliyoñ ko toḌ duuñ?

    phir kaun tere husn tafsīr likkhegā? batā!

    phir ye tasalsul raat din

    chāñd sūraj akele mausamoñ

    mas.aloñ aur mushkiloñ

    kaise TūTegā? batā!

    us ne hameñ ek dūsre se chhup ke rahne ke liye

    kapḌe diye aur ḳhūbsūrat ghar diye

    aur band kamroñ meñ zamīnoñ āsmānoñ sabhī sachchā.iyāñ kahne aur un

    par bahs karne aur mansūbe banāne khulī āzādī

    yāro! chalo saḌkoñ pe nañge sair karne jaa.eñ

    shāyad rasm chal nikle

    magar mere qabīle koī bhī mard

    kapḌe phaaḌ kar ghar ko jalā ke

    nañgī nañgī bāteñ kahne ke liye bāhar na niklā

    sab ko apne apne sūrāḳhoñ Dar thā

    nai saDkon ke naqshe kar-KHane

    unche unche pul mere mansube dekho aur kitabon mein paDho

    us ne kaha mere badan par hath bhi phero

    magar suraKH se ungli alag rakkho

    magar us ke badan par har taraf suraKH hi suraKH hain

    ungli alag rakkho!

    to kya main ungliyon ko toD dun?

    main ungliyon ko toD dun?

    phir kaun tere husn ki tafsir likkhega? bata!

    phir ye tasalsul raat din ka

    chand suraj ka akele mausamon ka

    masalon aur mushkilon ka

    kaise TuTega? bata!

    us ne hamein ek dusre se chhup ke rahne ke liye

    kapDe diye aur KHubsurat ghar diye

    aur band kamron mein zaminon aasmanon ki sabhi sachchaiyan kahne aur un

    par bahs karne aur mansube banane ki khuli aazadi di

    yaro! chalo saDkon pe nange sair karne jaen

    shayad rasm chal nikle

    magar mere qabile ka koi bhi mard

    kapDe phaD kar ghar ko jala ke

    nangi nangi baaten kahne ke liye bahar na nikla

    sab ko apne apne suraKHon ka Dar tha

    Source :
    • Book : Jalta Hai Badan (Pg. 77)
    • Author : Zahid Hasan
    • Publication : Apnaidara, Lahore (2002)
    • Edition : 2002

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now