Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aTuT ang

MORE BYAzhar Ghauri Nadwi

    mirā sar tum apne zaanū pe rakh kar

    mujhe pūchhtī ho!

    ki meñ kaun huuñ

    kyā huuñ, kaise huuñ?

    saare savāloñ ko muTThī meñ rakh kar

    zarā merī ik baat san lo

    suno! ye tumhāre badan ḳhumār-āshnā kaif... narm o musalsal

    mujhe lazzatoñ ke umuq meñ liye rahā hai

    maiñ pal pal kabhī

    lahza lahza kabhī

    dhīre dhīre kabhī

    lamha lamha kabhī

    ek dariyā ke phailāv meñ Dūbtā rahā huuñ

    sharābor tūfān meñ tund lahroñ sūrat

    nashīle samay

    ek āhañg ke saath hachkole khātā huā

    maiñ kisī soch rau meñ bahtā chalā rahā huuñ

    mirā dil, mirī jaañ:

    donoñ mausūm haiñ, us tamavvuj se

    jo merī nas nas meñ paiham machaltā huā

    ḳhuun ke zer-o-bam kahānī sunātā huā

    bah rahā hai

    ki jis ke har ek lams

    lazzatoñ, zā.iqoñ meñ

    tumhārā koī ḳhvāb hai

    jaise mahtāb hai

    tum to mere badan koī pāra-e-ḳhāk ho

    tum koī ġhair ho?

    merī ham-zād!

    ham kashtī-e-zīst ke bādbāñ tanābeñ haiñ do

    ek tum, ek maiñ

    jin mohtāj hai bādbān-e-nafas

    ye zamīñ, ye zamāñ

    mere ahd dāstāñ

    ham se ābād daa.em bisāt-e-jahāñ

    apne āñgan phūloñ-bharī kiyāriyāñ

    mera sar tum apne hi zanu pe rakh kar

    mujhe puchhti ho!

    ki mein kaun hun

    kya hun, kaise hun?

    sare sawalon ko muTThi mein rakh kar

    zara meri ek baat san lo

    suno! ye tumhaare badan ka KHumar-ashna kaif narm o musalsal

    mujhe lazzaton ke umuq mein liye ja raha hai

    main pal pal kabhi

    lahza lahza kabhi

    dhire dhire kabhi

    lamha lamha kabhi

    ek dariya ke phailaw mein Dubta ja raha hun

    sharabor tufan mein tund lahron ki surat

    nashile samay

    ek aahang ke sath hachkole khata hua

    main kisi soch ki rau mein bahta chala ja raha hun

    mera dil, meri jaan:

    donon hi mausum hain, us tamawwuj se

    jo meri nas nas mein paiham machalta hua

    KHun ke zer-o-bam ki kahani sunata hua

    bah raha hai

    ki jis ke har ek lams ki

    lazzaton, zaiqon mein

    tumhaara koi KHwab hai

    jaise mahtab hai

    tum to mere badan ka koi para-e-KHak ho

    tum koi ghair ho?

    meri ham-zad!

    hum kashti-e-zist ke baadban ki tanaben hain do

    ek tum, ek main

    jin ka mohtaj hai baadban-e-nafas

    ye zamin, ye zaman

    mere hi ahd ki dastan

    hum se aabaad daem bisat-e-jahan

    apne aangan ki phulon-bhari kiyariyan

    Source :
    • Book : Jalta Hai Badan (Pg. 22)
    • Author : Zahid Hasan
    • Publication : Apnaidara, Lahore (2002)
    • Edition : 2002

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now