Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dusre saeran se pahle

Anwar Maqsood Zahidi

dusre saeran se pahle

Anwar Maqsood Zahidi

MORE BYAnwar Maqsood Zahidi

    añdherā hai

    abhī tum apne hoñToñ ko

    yūñhī mere laboñ se muttasil rakho

    abhī us vaqt tak thāme raho

    mere badan ko apnī bāñhoñ se

    ki jab tak

    ik dhamāke se phaTe

    ātish-fishāñ jismoñ

    aur kitne qarnoñ chhupī hiddat

    bahe laave sūrat meñ

    ki jab tak

    sā.eran chīḳhtī makrūh mausīqī

    fazā ko phaaḌ de aur jagmagā.eñ bijliyāñ har

    andhera hai

    abhi tum apne honTon ko

    yunhi mere labon se muttasil rakho

    abhi us waqt tak thame raho

    mere badan ko apni banhon se

    ki jab tak

    ek dhamake se phaTe

    aatish-fishan jismon ka

    aur kitne hi qarnon ki chhupi hiddat

    bahe lawe ki surat mein

    ki jab tak

    saeran ki chiKHti makruh mausiqi

    faza ko phaD de aur jagmagaen bijliyan har su

    Source :
    • Book : Jalta Hai Badan (Pg. 30)
    • Author : Zahid Hasan
    • Publication : Apnaidara, Lahore (2002)
    • Edition : 2002

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now