boriyat
na koī aarzū
na koī umiid
na gilā koī
na koī fariyād
na hī rishtoñ ke chhūTne kā ġham
na kisī dilbar-e-hasīñ kī yaad
na mohabbat kī chāshnī baaqī
na hī vahshī judā.iyoñ kī raat
ab to bas ek hī sulagtī huī
baat dil se ubhar ke uThtī hai
har rag-e-jāñ se misl-e-sail-e-ġham
sab hadeñ
toḌ ke nikaltī hai
kitne be-rang haiñ mire hālāt
chhoḌ dete haiñ zindagī kā saath
na koi aarzu
na koi umid
na gila koi
na koi fariyaad
na hi rishton ke chhuTne ka gham
na kisi dilbar-e-hasin ki yaad
na mohabbat ki chashni baqi
na hi wahshi judaiyon ki raat
ab to bas ek hi sulagti hui
baat dil se ubhar ke uThti hai
har rag-e-jaan se misl-e-sail-e-gham
sab haden
toD ke nikalti hai
kitne be-rang hain mere haalat
chhoD dete hain zindagi ka sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.