bougainwillea ki waraftagi dekh kar
tanāvar peḌ khajūr se vāraftagī
yuuñ ki jaise
is kī tavānā.ī terī quvvat kī zāmin ho
be-sāḳhta bālīñ hotī
yuuñ ki
mahfūz hotī mausamoñ kī jaulāniyoñ se
tuudā soḳht na sahī
magar terī faro-māñdgī
larzāñ o jhulsī tāzgī
ba-zabān-e-ḳhud mustaftī huī
yuuñ ki
fazīlat kifālat ko hai
mahz tavañgarī ko nahīñ
bālā-dastī farzīyat kī bajā-varī meñ hai
mahz tanāvarī meñ nahīñ
tanawar peD khajur se waraftagi
yun ki jaise
is ki tawanai teri quwwat ki zamin ho
be-saKHta baalin hoti
yun ki
mahfuz hoti mausamon ki jaulaniyon se
tuda soKHt na sahi
magar teri faro-mandgi
larzan o jhulsi tazgi
ba-zaban-e-KHud mustafti hui
yun ki
fazilat kifalat ko hai
mahz tawangari ko nahin
baala-dasti farziyat ki baja-wari mein hai
mahz tanawari mein nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.