braat
ragoñ meñ dauḌtā phirtā lahū phir tham gayā hai
havā.eñ tez haiñ sāñsoñ kī halchal ruk ga.ī hai
riiḌh kī haDDī meñ chyūñTī reñgtī hai
jism meñ puure harārat baḌh ga.ī hai
zā.iqa kaḌvā kasīlā ho gayā hai
ki shāyad
phir koī apnā parāyā ho gayā hai
ragon mein dauDta phirta lahu phir tham gaya hai
hawaen tez hain sanson ki halchal ruk gai hai
riDh ki haDDi mein chyunTi rengti hai
jism mein pure hararat baDh gai hai
zaiqa kaDwa kasila ho gaya hai
ki shayad
phir koi apna paraya ho gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.