brake up
ta.alluq
tark karnā hai
ta.alluq
tark
kar lenā
magar
vaise nahīñ
jaise
zamāna
tark
kartā hai
diloñ meñ
farq
kartā hai
vafā ko
ġharq kartā haiñ
ta.alluq
tark karnā hai
ta.alluq
tark kar lenā
magar
ik mashvara sun lo
ise tum iltijā samjho
tumheñ bas itnā
karnā hai
ki is
anjām se pahle
merā āġhāz dohrā do
mujhe phir mujh se milvā do
tumheñ bas itnā
karnā hai
mohabbat
ke mahīne kī
vahī tārīḳh chunnī hai
vahī
ik vaqt
rakhnā hai
vahī
kapḌe pahanñe haiñ
vahī
ḳhushbū lagānī hai
jo pahle din lagā.ī thī
mohabbat kī
vo
pahlī
muskurāhaT
saath laanī hai
usī cafe meñ aanā hai
usī Table ko chunñā hai
vahī coffē mañgānī hai
ki jo us din mañgā.ī thī
chamak
āñkhoñ meñ
vo hī ho
khanak
bātoñ meñ
vo hī ho
hathelī par
usī andāz meñ
mehñdī rachā lenā
ki jo
us din rachā.ī thī
suno jānāñ
mohabbat kā
mirā pahlā
lifāfa
vo gulābī ḳhat
use tum saath le aanā
tumhārā
ḳhat
ki jis ke rang
ab tak
hū-ba-hū vo haiñ
use maiñ saath lā.ūñgā
lifāfe ham
badal leñge
ta.alluq
tark kar leñge
usī din
kī tarah
cafe se jaate vaqt
muḌ kar dekh paao to
ye tum par chhoḌtā huuñ maiñ
ta.alluq toḌtā huuñ maiñ
jahāñ se
ibtidā kī thī
vahīñ par
intihā karnā
ta.alluq
tark karnā hai
ta.alluq
tark
kar lenā
magar
vaise nahīñ
jaise
zamāna
tark
kartā hai
talluq
tark karna hai
talluq
tark
kar lena
magar
waise nahin
jaise
zamana
tark
karta hai
dilon mein
farq
karta hai
wafa ko
gharq karta hain
talluq
tark karna hai
talluq
tark kar lena
magar
ek mashwara sun lo
ise tum iltija samjho
tumhein bas itna
karna hai
ki is
anjam se pahle
mera aaghaz dohra do
mujhe phir mujh se milwa do
tumhein bas itna
karna hai
mohabbat
ke mahine ki
wahi tariKH chunni hai
wahi
ek waqt
rakhna hai
wahi
kapDe pahanne hain
wahi
KHushbu lagani hai
jo pahle din lagai thi
mohabbat ki
wo
pahli
muskurahaT
sath lani hai
usi cafe mein aana hai
usi Table ko chunna hai
wahi coffee mangani hai
ki jo us din mangai thi
chamak
aankhon mein
wo hi ho
khanak
baaton mein
wo hi ho
hatheli par
usi andaz mein
mehndi racha lena
ki jo
us din rachai thi
suno jaanan
mohabbat ka
mera pahla
lifafa
wo gulabi KHat
use tum sath le aana
tumhaara
KHat
ki jis ke rang
ab tak
hu-ba-hu wo hain
use main sath launga
lifafe hum
badal lenge
talluq
tark kar lenge
usi din
ki tarah
cafe se jate waqt
muD kar dekh pao to
ye tum par chhoDta hun main
talluq toDta hun main
jahan se
ibtida ki thi
wahin par
intiha karna
talluq
tark karna hai
talluq
tark
kar lena
magar
waise nahin
jaise
zamana
tark
karta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.