buddhu si ek bachchi
siimā ne mujh se pūchhā
ai mere pyāre chachā
ye roz aap mujh ko
dete the kaisā ġhachchā
kahte the kar rahā huuñ
va.ada maiñ tum se sachchā
jañgal ke peḌ par se
bandar kā ek bachchā
lā.ūñgā toḌ kar maiñ
lekin abhī hai kachchā
samjhe the aap hai ye
buddhū sī ek bachchī
chhe saal kī hai hogī
kuchh aql kī bhī kachchī
lekin samajh ga.ī huuñ
maiñ saarī ġhachchā ġhachchī
bilkul burā na māneñ
maiñ baat kah duuñ sachchī
bas ho ga.ī hai chachā
ab aap kī bhī kachchī
mujh ko batā chukī haiñ
kal raat merī chachchī
ugte nahīñ shajar par
yuuñ bandaroñ ke bachche
hote nahīñ vo hargiz
hargiz bhī pakke kachche
maiñ aap ke to va.ade
mānūñ kabhī na sachche
mat dījiye aap mujh ko
ab aise vaise ġhachche
chachchī ne ḳhud haiñ dekhe
bandar ke anDe bachche
bandariyā anDe de de
jab ghoñsloñ ke andar
bante haiñ pahle chūze
phir pyāre pyāre bandar
sima ne mujh se puchha
ai mere pyare chacha
ye roz aap mujh ko
dete the kaisa ghachcha
kahte the kar raha hun
wada main tum se sachcha
jangal ke peD par se
bandar ka ek bachcha
launga toD kar main
lekin abhi hai kachcha
samjhe the aap hai ye
buddhu si ek bachchi
chhe sal ki hai hogi
kuchh aql ki bhi kachchi
lekin samajh gai hun
main sari ghachcha ghachchi
bilkul bura na manen
main baat kah dun sachchi
bas ho gai hai chacha
ab aap ki bhi kachchi
mujh ko bata chuki hain
kal raat meri chachchi
ugte nahin shajar par
yun bandaron ke bachche
hote nahin wo hargiz
hargiz bhi pakke kachche
main aap ke to wade
manun kabhi na sachche
mat dijiye aap mujh ko
ab aise waise ghachche
chachchi ne KHud hain dekhe
bandar ke anDe bachche
bandariya anDe de de
jab ghonslon ke andar
bante hain pahle chuze
phir pyare pyare bandar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.