buDhape ki choTi
umr aur rāste kaTte chale ga.e
abhī abhī sāñseñ sambhalī thī
na jaane kab hausle bhī sambhalte chale ga.e
shurūātī ye rāste sīdhe-saral saaf huā karte the
ūñchā.ī pe baḌhte hī pathrīle hue kāñToñ se grast
haañ kabhī koī jharnā mil jaatā thā
peḌ bhī chhāñv le kar merī madad ko aate the
vo jharne vo chhāñv magar saath na chal paate the
vaqt thā jo saath chalā mere
ek roz vo bhī chalā gayā tajarbe kī peTī de kar
ab use bhī uThā.e chalnā hai sambhāle rakhnā hai
sāñsoñ kī tarah hausloñ kī tarah
rāste meñ milegā vo phir se
aur māñgegā mujh se us peTī meñ se kuchh
yā de jā.egā do chaar aur bhī uThāne ko
vaqt miltā gayā moḌ aate ga.e kuchh log bhī
bojh kam hotā phir baḌh bhī jaatā
rāsto meñ bhaTak bhī jaatā kahīñ kahīñ
bojh bhārī huā thā thakī āñkhoñ kā bhī ek bojh thā
buḌhāpe kī choTī ab abhī mīloñ duur thī
par vahāñ shāyad sukūn hogā
kahīñ pahuñch jaane kī rāhat hogī
chāñd kī ThanDak mere qarīb hogī
us choTī pe pahuñch kar
thake hue pairoñ ko kināre rakh dūñgā
kyūñki vahāñ se aage ab kuchh na hogā chalne ko
aañkh mūñdne kī mujhe ab ijāzat hogī
umr aur raste kaTte chale gae
abhi abhi sansen sambhali thi
na jaane kab hausle bhi sambhalte chale gae
shuruati ye raste sidhe-saral saf hua karte the
unchai pe baDhte hi pathrile hue kanTon se grast
han kabhi koi jharna mil jata tha
peD bhi chhanw le kar meri madad ko aate the
wo jharne wo chhanw magar sath na chal pate the
waqt tha jo sath chala mere
ek roz wo bhi chala gaya tajarbe ki peTi de kar
ab use bhi uThae chalna hai sambhaale rakhna hai
sanson ki tarah hauslon ki tarah
raste mein milega wo phir se
aur mangega mujh se us peTi mein se kuchh
ya de jaega do chaar aur bhi uThane ko
waqt milta gaya moD aate gae kuchh log bhi
bojh kam hota phir baDh bhi jata
rasto mein bhaTak bhi jata kahin kahin
bojh bhaari hua tha thaki aankhon ka bhi ek bojh tha
buDhape ki choTi ab abhi milon dur thi
par wahan shayad sukun hoga
kahin pahunch jaane ki rahat hogi
chand ki ThanDak mere qarib hogi
us choTi pe pahunch kar
thake hue pairon ko kinare rakh dunga
kyunki wahan se aage ab kuchh na hoga chalne ko
aankh mundne ki mujhe ab ijazat hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.