buDhiya aur chiDiya ki kahani
aao bachcho giit sunā.eñ
giit sunā.eñ ḳhuub hañsā.eñ
ik buḌhiyā ne chiḌiyā paalī
nannhī-munnī bholī-bhālī
buḌhiyā baiThī khiir pakātī
chiḌiyā us ko giit sunātī
ik din buḌhiyā bhūkī aa.ī
jaldī jaldī khiir pakā.ī
muñh dho kar vo khāne baiThī
chiḌiyā giit sunāne baiThī
buḌhiyā ne sab kuchh khā Daalā
chiḌiyā ko bhūkā hī Taalā
chiḌiyā jab pinjre meñ aa.ī
bhuuk se us ko niiñd na aa.ī
chūñ-chūñ chūñ-chūñ kar ke roī
saarī raat usī meñ khoī
sub.h huī aur murġhā bolā
buḌhiyā ne jab piñjrā kholā
pyaar se jab us ne chumkārā
chiḌiyā ne choñchoñ se maarā
buḌhiyā bhāgī ghar meñ aa.ī
muTThī bhar kar daanā laa.ī
jab buḌhiyā ne daanā khilāyā
tab chiḌiyā ne giit sunāyā
aao bachcho git sunaen
git sunaen KHub hansaen
ek buDhiya ne chiDiya pali
nannhi-munni bholi-bhaali
buDhiya baiThi khir pakati
chiDiya us ko git sunati
ek din buDhiya bhuki aai
jaldi jaldi khir pakai
munh dho kar wo khane baiThi
chiDiya git sunane baiThi
buDhiya ne sab kuchh kha Dala
chiDiya ko bhuka hi Tala
chiDiya jab pinjre mein aai
bhuk se us ko nind na aai
chun-chun chun-chun kar ke roi
sari raat usi mein khoi
subh hui aur murgha bola
buDhiya ne jab pinjra khola
pyar se jab us ne chumkara
chiDiya ne chonchon se mara
buDhiya bhagi ghar mein aai
muTThi bhar kar dana lai
jab buDhiya ne dana khilaya
tab chiDiya ne git sunaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.