bujh gae nil-gagan
ab kahīñ koī nahīñ
jal ga.e saare farishtoñ ke badan
bujh ga.e nīl-gagan
TūTtā chāñd bikhartā sūraj
koī nekī na badī
ab kahīñ koī nahīñ
aag ke sho.ale baḌhe
āsmānoñ kā ḳhudā
Dar ke zamīñ par utrā
chaar chhe gaam chalā TuuT gayā
aadmī apnī hī dīvāroñ se patthar le kar
phir guphāoñ kī taraf lauT gayā
ab kahīñ koī nahīñ
ab kahin koi nahin
jal gae sare farishton ke badan
bujh gae nil-gagan
TuTta chand bikharta suraj
koi neki na badi
ab kahin koi nahin
aag ke shoale baDhe
aasmanon ka KHuda
Dar ke zamin par utra
chaar chhe gam chala TuT gaya
aadmi apni hi diwaron se patthar le kar
phir guphaon ki taraf lauT gaya
ab kahin koi nahin
- Book : Shaher Men Gaon (Pg. 136)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.