bujhti hui sard sham
āḳhirī din kā Dūbtā sūraj
terī chaukhaT pe sajda-rez
apnī kirnoñ ke ḳhālī kashkol ulaT kar
thakī huī yaḳh-basta nigāhoñ se
merī duniyā kī tārīk rāhdāriyoñ meñ
guzre hue pal kī kisī pur-afshāñ
saa.at kī talāsh meñ hai
magar tā-hadd-e-nigāh phailī huī maḳhlūq
ḳhāliq-e-lam-yazal se ummīd-e-nau ke kaase phailā.e
apnī palkoñ kī muñDeroñ pe shafaq-rang liye
na.e ujāloñ na.e sūraj kī talabgār banī hai
bujhtī huī sard shaam ke tanhā sūraj
ai pīr-e-falak paikar-e-kohna sūraj
alvidā.a alvidā.a alvidā.a
aaKHiri din ka Dubta suraj
teri chaukhaT pe sajda-rez
apni kirnon ke KHali kashkol ulaT kar
thaki hui yaKH-basta nigahon se
meri duniya ki tarik rahdariyon mein
guzre hue pal ki kisi pur-afshan
saat ki talash mein hai
magar ta-hadd-e-nigah phaili hui maKHluq
KHaliq-e-lam-yazal se ummid-e-nau ke kase phailae
apni palkon ki munDeron pe shafaq-rang liye
nae ujalon nae suraj ki talabgar bani hai
bujhti hui sard sham ke tanha suraj
ai pir-e-falak paikar-e-kohna suraj
alwidaa alwidaa alwidaa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.