bulawa
nagar nagar ke des des ke parbat Tiile aur bayābāñ
DhūñD rahe haiñ ab tak mujh ko khel rahe haiñ mere armāñ
mere sapne mere aañsū in kī chhalnī-chhāñv meñ jaise
dhuul meñ baiThe khel rahe hoñ bālak baap se rūThe rūThe!
din ke ujāle sāñjh kī laalī raat ke andhiyāre se koī
mujh ko āvāzeñ detā hai aao aao aao aao
merī ruuh kī jvālā mujh ko phūñk rahī hai dhīre dhīre
merī aag bhaḌak uTThī hai koī bujhāo koī bujhāo
maiñ bhaTkā bhaTkā phirtā huuñ khoj meñ terī jis ne mujh ko
kitnī baar pukārā lekin DhūñD na paayā ab tak tujh ko
mere sañgī mere sāthī tere kāran chhūT ga.e haiñ
tere kāran jag se mere kitne naate TuuT ga.e haiñ
maiñ huuñ aisā paat havā meñ peḌ se jo TuuTe aur soche
dhartī merī gor hai yā ghar ye niilā ākāsh jo sar par
phailā phailā hai aur is ke sūraj chāñd sitāre mil kar
merā diip jalā bhī deñge yā sab ke sab ruup dikhā kar
ek ik kar ke kho jā.eñge jaise mere aañsū aksar
palkoñ par tharrā tharrā kar tārīkī meñ kho jaate haiñ
jaise bālak maañg maañg kar na.e khilaune so jaate haiñ!
nagar nagar ke des des ke parbat Tile aur bayaban
DhunD rahe hain ab tak mujh ko khel rahe hain mere arman
mere sapne mere aansu in ki chhalni-chhanw mein jaise
dhul mein baiThe khel rahe hon baalak bap se ruThe ruThe!
din ke ujale sanjh ki lali raat ke andhiyare se koi
mujh ko aawazen deta hai aao aao aao aao
meri ruh ki jwala mujh ko phunk rahi hai dhire dhire
meri aag bhaDak uTThi hai koi bujhao koi bujhao
main bhaTka bhaTka phirta hun khoj mein teri jis ne mujh ko
kitni bar pukara lekin DhunD na paya ab tak tujh ko
mere sangi mere sathi tere karan chhuT gae hain
tere karan jag se mere kitne nate TuT gae hain
main hun aisa pat hawa mein peD se jo TuTe aur soche
dharti meri gor hai ya ghar ye nila aakash jo sar par
phaila phaila hai aur is ke suraj chand sitare mil kar
mera dip jala bhi denge ya sab ke sab rup dikha kar
ek ek kar ke kho jaenge jaise mere aansu aksar
palkon par tharra tharra kar tariki mein kho jate hain
jaise baalak mang mang kar nae khilaune so jate hain!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.