bulawa
kisī pāmāl raste par uge kīkar
bahut se sañg-pāre an-ghaḌe patthar
ḳhizāñ ke zard chehre pe banī hasrat kī tasvīreñ
sulagtī ret zanjīreñ
parinde āsmāñ sūraj sitāre barf tanvīreñ
chaTTānoñ meñ khude katbe miTī tahrīr tamsīleñ
kisī afġhān ke kachche makāñ pe phailtī añgūr kī beleñ
pahāḌoñ kī hathelī se luḌhaktī
kāsnī jhīleñ
kahīñ osho ke jañgal meñ
khaḌī be-kār sī jhāḌī
koī gumnām nadī
murda sāhil
ūñghtī khāḌī
kahīñ ruhtās kī sīḌhī pe chaḌhtī lashkarī bāteñ
shikasta laal īñToñ par paḌī maazī kī barsāteñ
kisī bargad ke būḌhe peḌ ke bāloñ meñ
gūñdhī reshmī rāteñ
purānī bāvlī matrūk rāheñ maqbare ghāteñ
mire vijdān ke bhedoñ bhare maidān
meñ ḳheme lagātī haiñ
mujhe āvāz detī haiñ
mujhe aksar bulātī haiñ
kisi pamal raste par uge kikar
bahut se sang-pare an-ghaDe patthar
KHizan ke zard chehre pe bani hasrat ki taswiren
sulagti ret zanjiren
parinde aasman suraj sitare barf tanwiren
chaTTanon mein khude katbe miTi tahrir tamsilen
kisi afghan ke kachche makan pe phailti angur ki belen
pahaDon ki hatheli se luDhakti
kasni jhilen
kahin osho ke jangal mein
khaDi be-kar si jhaDi
koi gumnam nadi
murda sahil
unghti khaDi
kahin ruhtas ki siDhi pe chaDhti lashkari baaten
shikasta lal inTon par paDi mazi ki barsaten
kisi bargad ke buDhe peD ke baalon mein
gundhi reshmi raaten
purani bawli matruk rahen maqbare ghaten
mere wijdan ke bhedon bhare maidan
mein KHeme lagati hain
mujhe aawaz deti hain
mujhe aksar bulati hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.