bulbul
chaman meñ laa.ī hai phūloñ kī aarzū tujh ko
milā kahāñ se ye ehsās-e-rañg-o-bū tujh ko
tirī tarah koī sar-gashta-e-jamāl nahīñ
guloñ meñ mahv hai kāñToñ kā kuchh ḳhayāl nahīñ
ḳhizāñ kā ḳhauf na hai bāġhbāñ kā Dar tujh ko
ma.āl-e-kār kā bhī kuchh ḳhatar nahīñ tujh ko
ḳhush-e'tiqād o ḳhush-āhañg ḳhush-navā bulbul
jigar ke daaġh ko pur-nūr kar diyā kis ne
tujhe is aag se ma.amūr kar diyā kis ne
ye dil ye dard ye saudā kahāñ se laa.ī hai
kahāñ kī tū ne ye tarz-e-fuġhāñ uḌaa.ī hai
tujhe bahār kā ik murġh-e-ḳhush-navā samjhūñ
ki dard-mañd diloñ kī koī sadā samjhūñ
sivā ik aah ke sāmān-e-hast-o-būd hai kyā
tū hī batā tirā sarmāya-e-vajūd hai kyā
vo naqd-e-jāñ hai ki hai nāla-e-hazīñ terā
nishān-e-hastī-e-mauhūm kuchh nahīñ terā
use bhī vaqf-e-tamanna-e-yār kar denā!
nisār-e-jalva-e-gul jān-e-zār kar denā!
hazār rañg ḳhizāñ ne bahār ne badle
hazār ruup yahāñ rozgār ne badle
tirī qadīm ravish dekhtā huuñ bachpan se
hai sub.h-o-shām tujhe kaam apne shevan se
asar-pazīr havādis tirā tarāna nahīñ?
dayār-e-ishq meñ yā gardish-e-zamāna nahīñ?
na āshiyāna kahīñ hai na hai vatan terā
rahegā yūñhī baserā chaman chaman terā
tirā jahān hai baalā jahān-e-insāñ se
ki be-niyāz hai tū hādsāt-e-imkāñ se
tirā faroġh faroġh-e-jamāl-e-jānāñ hai
tirā nashāt nashāt-e-gul-o-gulistāñ hai
tirī hayāt kā maqsad hī dost-dārī hai
tirā muāmlā suud o ziyāñ se aarī hai
azal ke din se hai mahv-e-jamāl-e-jānāna
rahegī tā-ba-abad mā-sivā se begāna
tujhe kis aag ne hirs-o-havā se paak kiyā
tamām ḳhirman-e-hastī jalā ke ḳhaak kiyā
mujhe bhī de koī dāru-e-ḳhud-farāmoshī
jahāñ o kār-e-jahāñ se rahe subukdoshī
matā-e-hosh ko ik justujū meñ khonā hai
mujhe bhī ya.anī tirā ham-safīr honā hai
''tū ḳhush banāl marā bā tū hasrat-e-yārī ast
ki mā do āshiq-e-zārem o kār-e-mā zaarī ast''
chaman mein lai hai phulon ki aarzu tujh ko
mila kahan se ye ehsas-e-rang-o-bu tujh ko
teri tarah koi sar-gashta-e-jamal nahin
gulon mein mahw hai kanTon ka kuchh KHayal nahin
KHizan ka KHauf na hai baghban ka Dar tujh ko
maal-e-kar ka bhi kuchh KHatar nahin tujh ko
KHush-e'tiqad o KHush-ahang KHush-nawa bulbul
jigar ke dagh ko pur-nur kar diya kis ne
tujhe is aag se mamur kar diya kis ne
ye dil ye dard ye sauda kahan se lai hai
kahan ki tu ne ye tarz-e-fughan uDai hai
tujhe bahaar ka ek murgh-e-KHush-nawa samjhun
ki dard-mand dilon ki koi sada samjhun
siwa ek aah ke saman-e-hast-o-bud hai kya
tu hi bata tera sarmaya-e-wajud hai kya
wo naqd-e-jaan hai ki hai nala-e-hazin tera
nishan-e-hasti-e-mauhum kuchh nahin tera
use bhi waqf-e-tamanna-e-yar kar dena!
nisar-e-jalwa-e-gul jaan-e-zar kar dena!
hazar rang KHizan ne bahaar ne badle
hazar rup yahan rozgar ne badle
teri qadim rawish dekhta hun bachpan se
hai subh-o-sham tujhe kaam apne shewan se
asar-pazir hawadis tera tarana nahin?
dayar-e-ishq mein ya gardish-e-zamana nahin?
na aashiyana kahin hai na hai watan tera
rahega yunhi basera chaman chaman tera
tera jahan hai baala jahan-e-insan se
ki be-niyaz hai tu hadsat-e-imkan se
tera farogh farogh-e-jamal-e-jaanan hai
tera nashat nashat-e-gul-o-gulistan hai
teri hayat ka maqsad hi dost-dari hai
tera muamla sud o ziyan se aari hai
azal ke din se hai mahw-e-jamal-e-jaanana
rahegi ta-ba-abad ma-siwa se begana
tujhe kis aag ne hirs-o-hawa se pak kiya
tamam KHirman-e-hasti jala ke KHak kiya
mujhe bhi de koi daru-e-KHud-faramoshi
jahan o kar-e-jahan se rahe subukdoshi
mata-e-hosh ko ek justuju mein khona hai
mujhe bhi yani tera ham-safir hona hai
tu KHush banal mara ba tu hasrat-e-yari ast
ki ma do aashiq-e-zarem o kar-e-ma zari ast
- Book : meri behtareen nazam (Pg. 105)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.