bunda
kaash maiñ tere bun-e-gosh meñ bundā hotā
raat ko be-ḳhabarī meñ jo machal jaatā maiñ
to tire kaan se chup-chāp nikal jaatā maiñ
sub.h ko girte tirī zulfoñ se jab baasī phuul
mere kho jaane pe hotā tirā dil kitnā malūl
tū mujhe DhūñDhtī kis shauq se ghabrāhaT meñ
apne mahke hue bistar kī har ik silvaT meñ
jūñhī kartīñ tirī narm uñgliyāñ mahsūs mujhe
miltā is gosh kā phir gosha-e-mānūs mujhe
kaan se tū mujhe hargiz na utārā kartī
tū kabhī merī judā.ī na gavārā kartī
yuuñ tirī qurbat-e-rañgīñ ke nashe meñ mad.hosh
umr bhar rahtā mirī jaañ maiñ tirā halqa-ba-gosh
kaash maiñ tere bun-e-gosh meñ bundā hotā
kash main tere bun-e-gosh mein bunda hota
raat ko be-KHabari mein jo machal jata main
to tere kan se chup-chap nikal jata main
subh ko girte teri zulfon se jab basi phul
mere kho jaane pe hota tera dil kitna malul
tu mujhe DhunDhti kis shauq se ghabrahaT mein
apne mahke hue bistar ki har ek silwaT mein
junhi kartin teri narm ungliyan mahsus mujhe
milta is gosh ka phir gosha-e-manus mujhe
kan se tu mujhe hargiz na utara karti
tu kabhi meri judai na gawara karti
yun teri qurbat-e-rangin ke nashe mein madhosh
umr bhar rahta meri jaan main tera halqa-ba-gosh
kash main tere bun-e-gosh mein bunda hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.