bura man gae
maiñ ne chhoḌā jo paTāḳha to burā maan ga.e
ḳhvāb-e-ġhaflat se jagāyā to burā maan ga.e
ham ko bhī daadī kī is chiiz pe haq hāsil thā
khā liyā thoḌā sā halva to burā maan ga.e
merī tauhīn thī khaTmal se makoḌe se shikast
nochnā jo paḌā takiya to burā maan ga.e
ab bhī baaqī haiñ vahī zulm-o-sitam teacher ke
jo kahā lafz-e-ahinsā to burā maan ga.e
fail kartā hī to aayā huuñ sabhī saal magar
ab kī daddy ko sunāyā to burā maan ga.e
maiñ bhī siine meñ to āḳhir vahī dil rakhtā huuñ
raat picture se jo aayā to burā maan ga.e
jī meñ aayā thā ki kuchh chhup ke kamā luuñ shohrat
ek hī sher churāyā to burā maan ga.e
koī mujh sā na ho mahrūm jahāñ meñ 'ādil'
hāl-e-dil jab bhī sunāyā to burā maan ga.e
hotī aa.ī hai ki achchhoñ ko burā kahte haiñ
kyā huā maiñ bhī jo achchhā to burā maan ga.e
main ne chhoDa jo paTaKHa to bura man gae
KHwab-e-ghaflat se jagaya to bura man gae
hum ko bhi dadi ki is chiz pe haq hasil tha
kha liya thoDa sa halwa to bura man gae
meri tauhin thi khaTmal se makoDe se shikast
nochna jo paDa takiya to bura man gae
ab bhi baqi hain wahi zulm-o-sitam teacher ke
jo kaha lafz-e-ahinsa to bura man gae
fail karta hi to aaya hun sabhi sal magar
ab ki daddy ko sunaya to bura man gae
main bhi sine mein to aaKHir wahi dil rakhta hun
raat picture se jo aaya to bura man gae
ji mein aaya tha ki kuchh chhup ke kama lun shohrat
ek hi sher churaya to bura man gae
koi mujh sa na ho mahrum jahan mein 'adil'
haal-e-dil jab bhi sunaya to bura man gae
hoti aai hai ki achchhon ko bura kahte hain
kya hua main bhi jo achchha to bura man gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.