but-saz
maiñ ne kyā soch ke sahrā meñ dukāñ kholī hai
lab-e-la.alīñ ke tasavvur meñ mañgā.e yāqūt
najm laayā huuñ ki tartīb ho silk-dandāñ
mah-e-yak-rū bhī to darkār hai abrū ke liye
duur ufuq paar se thoḌī sī shafaq laayā huuñ
ḳhuun meñ gūñdh ke bhaTTī meñ tapā.ūñgā use
tab kahīñ surḳhī-e-ruḳhsār huvaidā hogī
maiñ ne tayyār kiyā ḳhāk-e-kavākib se ḳhamīr
kuchh nahīñ kuchh bhī nahīñ aaj azā-ḳhāne meñ
aaj ḳhas-ḳhāna-e-ḳhvāhish meñ faqat raakh hai raakh
vo kisī dast-e-hunar-var kā tarāshā huā til
kaf-e-zau-rez ko sharmātā thā māh-e-kāmil
vo tirī sā.ad-e-sīmīñ kā zamurrad bhī ḳhajil
kuchh nahīñ kuchh bhī nahīñ aaj azā-ḳhāne meñ
aaj bhī sochtā huuñ apne junūñ meñ aa kar
maiñ ne kyā soch ke sahrā meñ dukāñ kholī thī
main ne kya soch ke sahra mein dukan kholi hai
lab-e-lalin ke tasawwur mein mangae yaqut
najm laya hun ki tartib ho silk-dandan
mah-e-yak-ru bhi to darkar hai abru ke liye
dur ufuq par se thoDi si shafaq laya hun
KHun mein gundh ke bhaTTi mein tapaunga use
tab kahin surKHi-e-ruKHsar huwaida hogi
main ne tayyar kiya KHak-e-kawakib se KHamir
kuchh nahin kuchh bhi nahin aaj aza-KHane mein
aaj KHas-KHana-e-KHwahish mein faqat rakh hai rakh
wo kisi dast-e-hunar-war ka tarasha hua til
kaf-e-zau-rez ko sharmata tha mah-e-kaamil
wo teri saad-e-simin ka zamurrad bhi KHajil
kuchh nahin kuchh bhi nahin aaj aza-KHane mein
aaj bhi sochta hun apne junun mein aa kar
main ne kya soch ke sahra mein dukan kholi thi
- Book : Sitarah Saaz (Pg. 94)
- Author : Akhtar Usman
- Publication : Ahbaab Publications (2013)
- Edition : 2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.