asar anokhā huā
jab āstīñ kā button gir ke kho gayā jānāñ
tumhārī yaad kā siina hazār chaak huā
vo ek nuur kā dhāga dhyān meñ aayā
kasā huā sā koī taar saaz kā jaise
lagā ke pech ka.ī dil ko bāñdhne kī adā
gulābī hoñToñ se ho kar guzarne vaalī Dor
tumhāre dāñtoñ se kyā paT se TuuT jaatī thī
kushāda āñkhoñ ke goshoñ se sar ubalte the
ab aise bāñsurī pe koī lab nahīñ rakhtā
tumhārī tarah button aur kaun Tāñkegā
bas ek saañs kī suuī hai zaḳhm siitī hai
asar anokha hua
jab aastin ka button gir ke kho gaya jaanan
tumhaari yaad ka sina hazar chaak hua
wo ek nur ka dhaga dhyan mein aaya
kasa hua sa koi tar saz ka jaise
laga ke pech kai dil ko bandhne ki ada
gulabi honTon se ho kar guzarne wali Dor
tumhaare danton se kya paT se TuT jati thi
kushada aankhon ke goshon se sar ubalte the
ab aise bansuri pe koi lab nahin rakhta
tumhaari tarah button aur kaun Tankega
bas ek sans ki sui hai zaKHm siti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.