bu-ali andar-ghubar-e-naqa gum
maiñ agar shā.ir thā maulā to mirī ohda-barā.ī kyā thī āḳhir
shā.irī meñ mutakaffil thā to ye kaisī nā-munāsib ehtimālī
kyā karūñ maiñ
band kar duuñ apnā bāb-e-lafz-o-ma.anī
aur kahf ke ġhaar meñ jhāñkūñ jahāñ baiThe hue
as.hāb ma.abūd-e-haqīqī kī ibādat meñ magan haiñ
aur sag-e-tāzī sā chaukīdār un ke paas baiThūñ
vahdat-o-tauhīd kā paiġhām sun kar
vird kī sūrat use dohrātā jā.ūñ
pūchhtā huuñ
kyā mirī mashq-e-suḳhan tauhīd kī azalī shanāsā
o qarz ke bigtāshan kī daa.ī nahīñ hai
maiñ to rāsul-māl saarā peshgī hī de chukā huuñ
qarz kī vāpas adaa.ī meñ
mire alfāz kā saarā zaḳhīra luT chukā hai
sher ko harf-o-nidā meñ Dhālnā
tasbīh-o-tahlīl-o-ibādat se kahāñ kamtar hai maulā
shā.irī juzvest-az-paiġhambarī kis ne kahā thā
maiñ to itnā jāntā huuñ
merī tamjīd-o-parastish lafz kī qirāt meñ Dhaltī hai
to phir taḳhlīq kā vāzeh amal tasbīh yā maalā ke mankoñ kī tarah hai
phir ḳhayāl aatā hai shāyad maiñ ġhalat-āmoz huuñ
jo sher-goī ko ibādat jaan kar itrā rahā huuñ
bū-alī huuñ jo ġhubār-nāqa meñ gum ho gayā hai
main agar shair tha maula to meri ohda-barai kya thi aaKHir
shairi mein mutakaffil tha to ye kaisi na-munasib ehtimali
kya karun main
band kar dun apna bab-e-lafz-o-mani
aur kahf ke ghaar mein jhankun jahan baiThe hue
ashab mabud-e-haqiqi ki ibaadat mein magan hain
aur sag-e-tazi sa chaukidar un ke pas baiThun
wahdat-o-tauhid ka paigham sun kar
wird ki surat use dohraata jaun
puchhta hun
kya meri mashq-e-suKHan tauhid ki azali shanasa
o qarz ke bigtashan ki dai nahin hai
main to rasul-mal sara peshgi hi de chuka hun
qarz ki wapas adai mein
mere alfaz ka sara zaKHira luT chuka hai
sher ko harf-o-nida mein Dhaalna
tasbih-o-tahlil-o-ibaadat se kahan kamtar hai maula
shairi juzwest-az-paighambari kis ne kaha tha
main to itna jaanta hun
meri tamjid-o-parastish lafz ki qiraat mein Dhalti hai
to phir taKHliq ka wazeh amal tasbih ya mala ke mankon ki tarah hai
phir KHayal aata hai shayad main ghalat-amoz hun
jo sher-goi ko ibaadat jaan kar itra raha hun
bu-ali hun jo ghubar-naqa mein gum ho gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.