pyārī pyārī na.ī navelī
būjho bachcho ek pahelī
ḳhaak meñ kartī hai ye izzat
is se tum ko saḳht hai nafrat
tum ko ḳhuub rulātī hai ye
aksar tumheñ satātī hai ye
is se nafrat karte ho tum
naam se is ke Darte ho tum
phir bhī madrasa aate ho tum
aksar is ko khāte ho tum
zehn pe apne zor lagāo
jaldī is kā naam batāo
pyari pyari nai naweli
bujho bachcho ek paheli
KHak mein karti hai ye izzat
is se tum ko saKHt hai nafrat
tum ko KHub rulati hai ye
aksar tumhein satati hai ye
is se nafrat karte ho tum
nam se is ke Darte ho tum
phir bhi madrasa aate ho tum
aksar is ko khate ho tum
zehn pe apne zor lagao
jaldi is ka nam batao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.