buzdil
aaj ik afsaroñ ke halqe meñ
ek ma.atūb mātahat aayā
apne afkār kā hisāb liye
apne īmān kī kitāb liye
mātahat kī za.iif ā.ankhoñ meñ
ek bujhtī huī zehānat thī
afsaroñ ke latīf lahje meñ
qahr thaa, zahr thaa, ḳhitābat thī
ye har ik din kā vāqi.a, us din
sirf is ahmiyat kā hāmil thā
ki sharāfat ke zo.am ke bā-vasf
maiñ bhī in afsaroñ meñ shāmil thā
aaj ek afsaron ke halqe mein
ek matub matahat aaya
apne afkar ka hisab liye
apne iman ki kitab liye
matahat ki zaif aaankhon mein
ek bujhti hui zehanat thi
afsaron ke latif lahje mein
qahr tha, zahr tha, KHitabat thi
ye har ek din ka waqia, us din
sirf is ahmiyat ka hamil tha
ki sharafat ke zoam ke ba-wasf
main bhi in afsaron mein shamil tha
- Book : Kulliyat-e-Mustafa Zaidi(Koh-e-nida) (Pg. 55)
- Author : Mustafa Zaidi
- Publication : Alhamd Publications (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.