buzurgwar
ek umr-e-darāz chehra
Pacemaker se dhaḌaktā huā dil
aañkh kī dhuñdlātī raushnī
zindagī kī chamak
puure kumbe kā juġhrāfiya
apne ird-gird sameTe
zindagī kī shaam ko
yādoñ meñ lapeTe
umr kī lakīroñ meñ
tajribe kī chamak
kisī farishte kī tarah
ek buzurg kā saaya
ghar meñ Tahaltā hai
apne dhīme qadmoñ se
chahal-qadmī karte hue
sab kī ḳhabar rakhtā
bas duā hai yahī
is duā ke haath
sab ke sar par rahe
kaash har buzurg kā maan
har ghar meñ rahe
ek umr-e-daraaz chehra
Pacemaker se dhaDakta hua dil
aankh ki dhundlati raushni
zindagi ki chamak
pure kumbe ka jughrafiya
apne ird-gird sameTe
zindagi ki sham ko
yaadon mein lapeTe
umr ki lakiron mein
tajribe ki chamak
kisi farishte ki tarah
ek buzurg ka saya
ghar mein Tahalta hai
apne dhime qadmon se
chahal-qadmi karte hue
sab ki KHabar rakhta
bas dua hai yahi
is dua ke hath
sab ke sar par rahe
kash har buzurg ka man
har ghar mein rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.