cafe
do hī cup
mañgātā huuñ
aaj bhī maiñ coffē ke
dekh kar ye cafe meñ
log rone lagte haiñ
koī ek vo Table
book kabhī nahīñ kartā
jis pe maiñ ne chābī se ek dil banāyā thā
aur do naam likkhe the
ho gayā purānā par
aaj tak nahīñ badlā
mez kā vo ik gul-dān
pahle vasl par jis meñ
tum ne phuul rakhe the
mujh se koī waiter ab
Tip bhī to nahīñ letā
vo dūkān mālik jo
chuTkule sunātā thā
khilkhilā ke hañstā thā
duur ab ḳhamoshī se mujh ko taktā rahtā hai
is salīb par merā jism laTkā rahtā hai
maiñ tumhāre cup ko vo
mujh ko taktā rahtā hai
vaqt kaTtā rahtā hai
do hi cup
mangata hun
aaj bhi main coffee ke
dekh kar ye cafe mein
log rone lagte hain
koi ek wo Table
book kabhi nahin karta
jis pe main ne chabi se ek dil banaya tha
aur do nam likkhe the
ho gaya purana par
aaj tak nahin badla
mez ka wo ek gul-dan
pahle wasl par jis mein
tum ne phul rakhe the
mujh se koi waiter ab
Tip bhi to nahin leta
wo dukan malik jo
chuTkule sunata tha
khilkhila ke hansta tha
dur ab KHamoshi se mujh ko takta rahta hai
is salib par mera jism laTka rahta hai
main tumhaare cup ko wo
mujh ko takta rahta hai
waqt kaTta rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.