cake ka ek TukDa
kohna-tar ziin badlī ga.ī
phir na.ī na'al-bandī huī
aur faras hinhināyā
savār ab savārī par majbūr thā
maiñ akelā azā-dār
kitne yugoñ se
uThā.e hue
jism kā tāziya
ḳhud hī apne janam-din pe masrūr thā
kapkapātī chhurī
cake ko vast tak
chiir kar ruk ga.ī
dil larazne lagā
zo.af kī maarī phūñkoñ ne
ek ek kar ke
bhaḌaktī lavoñ ko bujhāyā
azīzoñ ne
bachchoñ ne
taalī bajā.ī
mubārak mubārak huī
cake kā ek TukḌā
mire muñh meñ Thūñsā gayā
na'al kī shakl kā
kohna-tar zin badli gai
phir nai na'al-bandi hui
aur faras hinhinaya
sawar ab sawari par majbur tha
main akela aza-dar
kitne yugon se
uThae hue
jism ka taziya
KHud hi apne janam-din pe masrur tha
kapkapati chhuri
cake ko wast tak
chir kar ruk gai
dil larazne laga
zoaf ki mari phunkon ne
ek ek kar ke
bhaDakti lawon ko bujhaya
azizon ne
bachchon ne
tali bajai
mubarak mubarak hui
cake ka ek TukDa
mere munh mein Thunsa gaya
na'al ki shakl ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.