calendar
dhyān kī dīvāroñ se
ga.e dinoñ kī yādeñ kaise utārūñ
is calendar meñ jitnī tasvīreñ haiñ
sab mujh ko jaan se pyārī haiñ
is meñ pahlī tasvīr jo hai
ye merā sahmā sahmā ḳhauf-zada bachpan
jis ke pas-manzar meñ jīvan
sautelī maaoñ jaisī saffākī se mujh ko taktā hai
mahrūmī mere gaal masal kar
roTī kā TukḌā detī hai
aur bhuuk Tahokā detī hai
is meñ duujī tasvīr jo hai
ye sabz laḌakpan kī dahlīz pe
nañge paañv
phaTe libāde
ḳhvāboñ kī ujlī pariyoñ kī sañgat meñ
ik bachchī dauḌī jaatī hai
ik ḳhvāhish uḌtī jaatī hai
rañgīn ġhubāroñ kī sūrat
jo hāthoñ se chhuT jaate haiñ
us meñ aglī tasvīr jo hai
ye bhor samay kī duurī par
ik bastī kī
jis bastī meñ
ik āñgan hai
jis āñgan meñ
ik phuul sadā se khilā huā
ik aag musalsal raushan hai
vo aag
ki jis ko hijr kī andhī rāteñ bhī kajlā na sakīñ
vo phuul
ki jis ko dukh kī garm havā.eñ bhī kumhlā na sakīñ
in tasvīroñ meñ zinda hai
in tasvīroñ meñ raushan hai
dhyan ki diwaron se
gae dinon ki yaaden kaise utarun
is calendar mein jitni taswiren hain
sab mujh ko jaan se pyari hain
is mein pahli taswir jo hai
ye mera sahma sahma KHauf-zada bachpan
jis ke pas-manzar mein jiwan
sauteli maon jaisi saffaki se mujh ko takta hai
mahrumi mere gal masal kar
roTi ka TukDa deti hai
aur bhuk Tahoka deti hai
is mein duji taswir jo hai
ye sabz laDakpan ki dahliz pe
nange panw
phaTe libaade
KHwabon ki ujli pariyon ki sangat mein
ek bachchi dauDi jati hai
ek KHwahish uDti jati hai
rangin ghubaron ki surat
jo hathon se chhuT jate hain
us mein agli taswir jo hai
ye bhor samay ki duri par
ek basti ki
jis basti mein
ek aangan hai
jis aangan mein
ek phul sada se khila hua
ek aag musalsal raushan hai
wo aag
ki jis ko hijr ki andhi raaten bhi kajla na sakin
wo phul
ki jis ko dukh ki garm hawaen bhi kumhla na sakin
in taswiron mein zinda hai
in taswiron mein raushan hai
- Book : Kunj piile phuulo.n kaa (Pg. 48)
- Author : Ishrat aafre.n
- Publication : Maktaba diin-o-adab (1986)
- Edition : 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.