camera
ek umañg se
tanī huī ik pur-asrār galī
pattī pattī aag liye jaatī hai...
ye sarkash ḳhūn-farosh
apne barush kī jumbish se
mailī sub.h meñ
surḳh rañg bhar degii...
aaj numū ke niile zahr se
bharī huī baiThī hai...
os meñ tar koī be-ghar titlī
nīn-peḌ kī ḳhvāb-shāḳh par
piile dhānī andeshoñ kī
dhanak pahan ke sotī hai....
is kohre meñ
vo jādū-gar bīr-bahūTī kiran dikhā.ī de
jo us ke majrūh paroñ se
shabnam kī zanjīr toḌ ke
use rihā.ī de
narm ghaas meñ havā uḌe
jo miTTī meñ band mahak
apne razor se kaaT kaaT ke
dhartī se āzād kare
manzaroñ kā said meñ
ek apne camere meñ qaid meñ
ek umang se
tani hui ek pur-asrar gali
patti patti aag liye jati hai
ye sarkash KHun-farosh
apne barush ki jumbish se
maili subh mein
surKH rang bhar degi
aaj numu ke nile zahr se
bhari hui baiThi hai
os mein tar koi be-ghar titli
nin-peD ki KHwab-shaKH par
pile dhani andeshon ki
dhanak pahan ke soti hai
is kohre mein
wo jadu-gar bir-bahuTi kiran dikhai de
jo us ke majruh paron se
shabnam ki zanjir toD ke
use rihai de
narm ghas mein hawa uDe
jo miTTi mein band mahak
apne razor se kaT kaT ke
dharti se aazad kare
manzaron ka said mein
ek apne camere mein qaid mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.