carbon-paper
suno na
kahīñ se koī
carbon-paper le aao
ḳhūbsūrat us vaqt kī
kuchh naqleñ nikāleñ
kitnī parchiyoñ meñ
jiite haiñ ham
lamhoñ kī besh-qīmtī
rasīdeñ bhī to haiñ
kuchh to hisāb
rakheñ un kā
qismat
pakkī parchī to
rakh legī zindagī kī
kuchh kachchī parchiyāñ
hamāre paas bhī to hoñgī
kuchh naqleñ
kuchh rasīdeñ
likhā.iyāñ kuchh
muTThiyoñ meñ ho
to tasallī rahtī hai
suno na
kahīñ se koī
carbon-paper le aao
suno na
kahin se koi
carbon-paper le aao
KHubsurat us waqt ki
kuchh naqlen nikalen
kitni parchiyon mein
jite hain hum
lamhon ki besh-qimti
rasiden bhi to hain
kuchh to hisab
rakhen un ka
qismat
pakki parchi to
rakh legi zindagi ki
kuchh kachchi parchiyan
hamare pas bhi to hongi
kuchh naqlen
kuchh rasiden
likhaiyan kuchh
muTThiyon mein ho
to tasalli rahti hai
suno na
kahin se koi
carbon-paper le aao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.