Catharsis
chīḳhnā hai mujhe
is zamīñ par
nahīñ
āsmāñ meñ
nahīñ
in vajūdoñ kī lā meñ
ḳhalā meñ
mujhe chīḳhnā hai
anā kī anā meñ
magar kis sazā meñ
ki jīvan bitāyā hai is karbalā meñ
mujhe chīḳhnā hai ḳhalā meñ
jahāñ apnī chīḳheñ maiñ ḳhud hī sunūñ
faisla ḳhud karūñ
in vajūdoñ ko kyā maiñ jiyūñ yā marūñ
chiKHna hai mujhe
is zamin par
nahin
aasman mein
nahin
in wajudon ki la mein
KHala mein
mujhe chiKHna hai
ana ki ana mein
magar kis saza mein
ki jiwan bitaya hai is karbala mein
mujhe chiKHna hai KHala mein
jahan apni chiKHen main KHud hi sunun
faisla KHud karun
in wajudon ko kya main jiyun ya marun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.