chachu chalaen gaDi
yuuñ TeḌhī tirchhī aaḌī
jaise saḌak ho un kī
apnī hī khetī-bāḌī
do dost pīchhe baiThe
do chaḌh ga.e agāḌī
ye phaT-phaTī hai koī
yā bhāgtī pahāḌī
phaT phaT phaTāk kar ke
jab ye saḌak pe dhāḌī
daa.eñ ko pahle ghūmī
phir baa.eñ samt taaḌī
ik bas se bach ke niklī
ik cycle pachhāḌī
ik taxi ko ragḌā
number plate ukhāḌī
fōtpath par jo uchhlī
Takrāyā ik kabāḌī
phir roḌ par utar kar
machvā dī bhag-bhagāḌī
vo chauk kā sipāhī
rokī thī jis ne gaaḌī
lo vo bhī kuud bhāgā
phāñdī baḌī sī jhāḌī
yuuñ Dagmagā ke laḌke
chāchū ke saare aaḌī
dikhlā.eñ jaise circus
kuchh masḳhare anāḌī
yun TeDhi tirchhi aaDi
jaise saDak ho un ki
apni hi kheti-baDi
do dost pichhe baiThe
do chaDh gae agaDi
ye phaT-phaTi hai koi
ya bhagti pahaDi
phaT phaT phaTak kar ke
jab ye saDak pe dhaDi
daen ko pahle ghumi
phir baen samt taDi
ek bas se bach ke nikli
ek cycle pachhaDi
ek taxi ko ragDa
number plate ukhaDi
footpath par jo uchhli
Takraya ek kabaDi
phir roD par utar kar
machwa di bhag-bhagaDi
wo chauk ka sipahi
roki thi jis ne gaDi
lo wo bhi kud bhaga
phandi baDi si jhaDi
yun Dagmaga ke laDke
chachu ke sare aaDi
dikhlaen jaise circus
kuchh masKHare anaDi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.