Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chah-e-babil

Ashraf Rafi

chah-e-babil

Ashraf Rafi

MORE BYAshraf Rafi

    vo jo chāh-e-bābil meñ

    bāloñ Dorī par

    laTak laTak kar

    sazā-e-umr-e-darāz

    bhugat rahe haiñ

    un se pūchho

    husn-o-shabāb nasha kyā hai

    un se pūchho

    barbat-o-nāhīd

    raqs-o-surūr kyā hai

    un se pūchho

    shab-e-aish-o-nishāt kyā hai

    in be-chāroñ se kyā pūchhte ho

    jo nā-karda gunāhoñ hasrat liye

    sazā-e-umr-e-tamām

    bhugat rahe haiñ

    wo jo chah-e-babil mein

    baalon ki Dori par

    laTak laTak kar

    saza-e-umr-e-daraaz

    bhugat rahe hain

    un se puchho

    husn-o-shabab ka nasha kya hai

    un se puchho

    barbat-o-nahid

    raqs-o-surur kya hai

    un se puchho

    shab-e-aish-o-nishat kya hai

    in be-chaaron se kya puchhte ho

    jo na-karda gunahon ki hasrat liye

    saza-e-umr-e-tamam

    bhugat rahe hain

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now